Shivanshu: Pranam Swamiji, Swamiji, can you please tell who were panchakanyas and why were they called so?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Actually, the description of Panchkanyas does not exist in vedas, so I’m sorry that I can’t comment on the said matter. It may be self-made tradition.
Anonymous: Swami jee? Pranam Atharveda 14/2/23 mein red deer ki skin pe pant ko baithane ke lie bola gaya hai ?? swami jee mai puchna chata hu ki kya skin ke lie deer ko marna theek hai ?? aur maine suna tha ki “rohita” ped ko bhi bolte hai ? to kya yahan “rohit” shabd ka arth ped ho sakta hai ?? kya ped ki skin (Bark) pe batir ke puja ki jaa sati hai?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Mantra mein rohit ka arth hirann ke chamade par trinn phailane ka updesh hai.Us par nav-vivahit vadhu ko baithkar Yajyen karne ka updesh hai. Bhaav yeh hai ki chamda neeche bichha ho uske upar moonz ke trinn bichhe hue hon aur us par nav-vadhu baithkar Yajyen kare, Ishwar kee pooja kare. Isey shubh maana gaya hai.Raha prashann Hirann kee charm ka to hirann kee charm prapt karne ke liye hirann ka vadh nahi kiya jaata, woh to hinsa ho jaati hai, paap ho jaata hai. Rishi log bhi hirann kee athwa sher aadi kee charm ko shuddh karke us par baithkar Yajyen karte the athwa sadhna karte the. Bhaav yeh hai ki we prakritik roop se mrityu ko prapt hue hiranno ya sher aadi kee charm ka upyog karte the.