Anonymous: Namaste Swami Ji. I watched a video on a devotee from a paurnik organisation there he states that Atharveda mentions Puranasa and quotes 11.7.24. I have his explanation and the link to his video.
The references which clearly reveals that the Puranas and Itihasa are also Vedas and has the same origin as of the other Vedas are: Atharva Veda 11.7. 24: “The Rg, Sama, Yajur and Atharva became manifest from the Lord, along with the Puranas and all the Devas residing in the heavens.”
Please advise us the correct translation of this verse. Thank you.
Swami Ram Swarup: Anonymous beta my blessings to you. You see Vedas knowledge emanates direct from God whereas Puranas etc., are written by human-beings. So, Vedas and Purans both are different from each other. The meaning of Atharvaveda 11/7/24 is as under –
(yat cha pranen pranti) Yeh prandhari jeev hain veh pran vaayu lete hain (yat cha Chakshush pashyati) aur jo prani ankhon ke dwara dekte hain (sarve) veh sab prani (uchchishtat jajire) Parmeshwar se hi utpann huye hain evam (divi) dyulok mein sthit (divishritah devaha) prakashmay surya ke aakarshan mein sthit (devaha) gati wale lok bhi Parmeshwar mein hi ashrit hain (richah) Rigved mantra (samani) samved mantra (chchandasi) Atharvaveda mantra (yajusha sha) Yajurveda mantron ke sath (puranam) anadi kaal se chale aaye yeh sab mantra Parmeshwar mein hi ashrit hain. Atah mantra mein puran ka arth puratan, jo anadi kaal se chala aa raha hai, yeh hai. Yahan puran ka arth manushya dwara likhe 18 puran nahi hain. Dhyan rahe ki puran Ishwar ne nahin banaye apitu manushyon ne banaye.
SP: “Pujya Gurumaharajji aapko pranaam🙏Eshwar se prarthana hai ke aap ki acchi sehat aur lambi aayu ho. Jab humko koi hurt karta hai, toh uske liye humko bura nahi sochna chahiye, aur hume eshwar par chod dena chahiye. Par jab hum khud ko, khud hurt karte hai, hum khud apna bura karte hai, aur hum jaan bhi lete hai swayam ka kiya hua ganda karm paap hai aur ninda ke yogya hai. Gurumaharajji ab aise mei insaan kaise khud ko maaf kare aur zindagi mei aagey bade bhakti maarg mei? Mei bahut peeda mei hu, meri pukaar ko sweekar kijiye, meri madat kijiye🙏”Swami Ram Swarup: Beta mera aapko bahut bahut aashirwad sada sukhi raho. Rigveda mantra 1/22/15 updesh deta hai ki Parmeshwar ne yeh srishti sabko sukh dene ke liye banayi hai jismein kisi ko kanta lagne ka dukh bhi na ho prantu yeh tabhi sambhav hai ki sab prani ved marg par chalkar hi jeewan vyatit karein. Vedon se bhatakar hi prani dukhi rahta hai. Dusra yeh hai ki samved kahta hai ki jab manushya nitya agnihotra/ ved mantraon se hi agnihotra karta hai to uske kiye huye paapon ka nash hota hai. Atah dukh ki to koi baat hi nahi hai, manushya prasanchitt hokar kisi vidwan ka ashray lekar niyta agnihotra/ kabhi kabhi yaj kare tab uske kiye huye paapon ka nash hona prarambh hota hai.