Suman: Mere ko ye janena hai. aap ye khete ho. god sbeko karmo kw ansar fal deta hai. fir uk ya fir rich country me rhene wala har kuch ved ka against krete hai wo indian se jyda sucess hai. happy bhi hai.indian sbese jyda pooja krete hai sbese jyda pareshan dukhi hai. kya ache karme krene wale sbe log unhi place me paida hote hai. jaise phele yugo me devil hote the kya kalug me bhi hai paapi logo ko kya wo support krete hai.
Swami Ram Swarup: Main aapke question ke vishaye mein articles paste kar raha hoon, aap padein phir bhi aapka koi question ho toh pooch sakte hain.
Log burey karma isliye karte hain kyunki weh bachpann se ved vidya nahin sunte aur Ishwar ke niyam ko nahin jaante ki Ishwar paap karma karne walon ko kathor sazaa deta hai.
Doosree baat yeh hai ki Ishwar ne manushya shareer dekar sabko karma karne ke liye azaadi dee hai matlab chahhe koi shubh, punnyavaan karma karey chahe paap karma karey, iske liye weh azad hai. Ishwar usey in karmon ko karne ke liye rokega nahin. Han! Asli baat yeh hai Ki karma ka phal Ishwar deta hai. Jo shubh karma karega usey sukh dega aur jo paap karma karega usey dukh dega. Is baat ko na jaanne par bhi log paap karma mein lipt rehte hain.
Bhagwan hamari problems tab khatam karte hain jab pichhle janam ke paap karam bhogkar khatam ho jaate hain. Rigveda mantra 10/135/1,2 ke anusaar hum sab manav pichhle janam ke kiye paap aur punnya karmon ka phal bhogne manushya shareer dharann karke yahaan aaye hain. Jab paap karma bhogne ka time aata hai to hum dukhi ho jaate hain, jab punnya karma bhogne ka time aata hai to hum sukhi ho jaate hain. Bhaav yeh hai ki hum khud ke kiye karmon ka phal hee bhogte hain. Ishwar toh sirf kiye karmon ka phal deita hai. Aur iisliye jab paap karmon ka phal bhogne ka samay aata hai aur agar yeh samay karma ke anusar lamba hai to lambey samay tak jeevan mein khushiyaan nahin aatee itiyadi.
Ankur: Swami g Jim krne ke kya fyde hai kya jim krne se hight nhi bdhti h krapya btaye detail me..
Swami Ram Swarup: Aajkal sab adhik se adhik Janata gym jaane mein vishwas rakhtee hai. Waise gym jaane mein koi kharaabee nahin hai. Apnee sehat ke anusaar jo bhi chahe gym jaakar exercise karnee chahiye. Han! Yeh avashya hai ki prataha kaal kee sair, rozana kee exercise bhi sehat theek rakh saktee hai.