Shivanshu: Pranam Swamiji, Swamiji , is there any relation between Bhagwan Manu and Bhagwan Rama?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Sri Ram had ancestral link with Manu Bhagwan. You see, Manu Bhagwan was born in Satyug whereas Sri Ram was born in Treta yug.
K: Charansparsh swamiji. sawmiji ek duvidha thi.Apne batya the ki patni ka vedo anusaar dharam hai ki woh pati ki aagya ka palan kareinIss sandarbh mein swamiji ishwar ne atharved mantra 3/25/6 mein var vadhu ke mata-pitaah ko bolta hai ki woh kanya ko uske vash mein karein.Swamiji yahan ‘vashey’ shabd ka Atharved mein prayog hua hai.Atah iss mantra se yeh siddh ho jaata hai ki patni ko pati ki aagya ka palan karna hai.Kyuki vash mein karne ka arth hi hai apni aagya ke adheen karna.Yahan tak toh swamiji jo aapne batya tha woh siddh hota hai,parantu swamiji Atharved mantra 14.1.20 mein iska theek ulta updesh ishwar ne diya hai.Iss mantra mein pitaah apni beti ko apne patike ghar jaane ki aur wahan ki controller banne i aagya de rahe hai.Iss mantra mein swamiji ‘vashini’ shabd ka prayog hua hai,Swamiji isme patni ko purey ghar ki vashini honey ko bola hai apitu iska arth hua ki pati ko patni ke vash mein rehna hai aur uski aagya ka palan karna hai.Toh swamiji inn domantro mein virodhabhaas ho gaya.Swamiji ved k anusaar pati ko patni ki aagya ka palan karna chahiye ya patni ki aagya ka pati ko,?aur yeh baat kis ved mantra se siddh hogi??
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Vedanusar jo karma kiye jaate hain ya agya dee jaati hai weh punnya hai aur vedon ke vipreet jo karma kiye jaate hain ya agya dee jaati hai, weh paap hai. Vedanusar patni pati ke ghar kee rani-laxmi aadi kahee jaatee hai. Yeh mantron mein hai lekin anya mantron mein yeh bhi to hai ki weh pati kee agya ka palan kare, sewa kare, usey sadaa prasann rakhe aadi aur pati ko agya hai ki weh patni kee sabhi achchhee baton ko mane, uska rakshak bane, pati-patni ka aapas mein prem ho aadi, to vedon mein virodhabhas kabhi nahi ho sakta, alag-alag aagyain hain jinko yog drishti se dekha jaata hai. Pravachan mein bhi maine kai bar kaha hai ki pustak padna ved nahi hai. Pustak to sanhitayein hain, ved to kisi yogi ke mukh se nikalee vanni hai, us vanni ka sunna, ved ka sunna kaha jaataa hai. Us vanni ko sunkar phir pustakon ka adhyayan aaj ke yug mein karein anyatha Ishwar kee to agya pustak padne kee hai hee nahi aur ved pustak hain nahi. Ishwar ne ved pustak ke roop mein nahi diye. Nirakar Ishwar ne to bina kaagaj kalam aur bina likhe apnee samarthya se Charon vedon ka gyan char rishiyon ke hriday mein prakat kar diya tha.