Dinesh: Srashti mein sabse bara daan kya hai?
Swami Ram Swarup: Srishti mein sabse bada daan Ved vidya ka dan hai jo na to kisi se churai ja sakti hai aur na kisi se chhupai ja sakti hai aur Yajurved states that after getting the vidya daan from an acharya properly and traditionally the devotee enjoys the family life.
S: Guruji aapka bhaut bhaut dhanayad aapne mere prashan ka uttar diya- 5 nov 2014 ko. Guruji aapne uttar main bataya ki “NATURALLY YADI KISI STUDENT KA DIL BILKUL BHI PADAI MAIN NAHI LAGTA AUR BAHUT KOSHISH KARNE PAR BHI NAHI LAGTA TO YEH USKA PEECHHLE JANAM MEIN KIYE BURE KKARMON KA PHAL HAI. PRANTU YADI HUM ISEY HEE SATYA MAAN LEIN TO PHIR NA PADHNA AUR BURE KARAM KARNA ISKA DOSH ISHWAR PAR JAYEGA JO KI AISA KABHI BHI NAHI HO SAKTA. Guruji I am really sorry ki main fir se aapse wohi sawal pooch raha hoon kyunki muje clearly saamaj nahi aya aur main shayad sahi se puuch bhi nahi pa raha hoon. Guruji main janta hoon ki yeah mere hi kamzori hai lekiin 1 month main mera ek bhaut hi imp. Exam hai aur jab bhi main thoda sa bhi down hota hoon to yeah vichar aa jata hai ki – GOD nahi chate ki main padoon aur main is vichar se mukti paana chata hoon. To Guruji please clarify please-
1. GURJI aap yeahi keh rahe hain na ki main jo khud se hi sooch raha hoon ki– GOD nahi chate ki main padoon – yeah galat hai aur main mehent karoon to pad sakta hoon.Guruji main to chata hoon ki main padoon. Main apne exams main topper raha hoon. Lekin kuch din phele main pad nahi paa raha tha aur maine ek jagah pada ki jo bhi hota hai wo GOD hi karta hai. To isliye mere maan main yeah vichar baith gaya ki yadi main pad nahi pa raha to matlab ki GOD nahi chate ki main padoon. Lekin main janta hoon ki yeah kabhi satya nahi ho sakta kyunki padna to student ki duty hai and how can GOD stop a person from doing the duty that he himself has assigned.
2. Guruji main aapni is aadat se bhi pareshan hoo gaya hoon ki main khud hi yeah decide karta rehta hoon ki GOD kya kar raha hai— jaise ki maine yeah kud se hi decide kar liya ki GOD chata hia ki main naa padoon. Jab ki abhi 3 din phele tak main acchhee se pad raha tha. Who am I to decide on the acts of GOD? Main bas puri shakti ke sath apne padne ki duty ko pura karna chata hoon- jaise ki aapne kaha hai.
3.The problem Guruji is “when I sit to study mera dhayan isse baat pe laga rehta hai ki “GOD nahi chate ke main padoon because of my previous bad deeds and GOD wants that I should have a unsuccessful future . Guruji as I have told you that ki main havan and meditation bhi karta hoon from 1 year lekin Guruji HAVAN, meditation bhi to usi ke kaam ayeegi jo yeah jaanta hai aur maanta hai ki wo pad sakta hai. Main to issi uljaan main fassa rehta hoon ki main pad hi nahi sakta kyun ki muje lagta hai ki God nahi chata ta.
4. Jab tak aisa vichar nahi aya tha tab tak to main acchhee pad raha tha aur problem ko face karta hua apni padai pe koi effect nahi hone deta tha lekinjab se yeah pada hai ki –jo karta hai GOD hi karta hai- I am not able to study with same vigour and flow kyunki.
5. Agar yeah vichar main bool jata hoon tab to main pad leta hoon lekin jaise hi wapis yad aata hai to phir se padaee suffer karne lagti hai.
Guruji mera ek bar marg darshan kar de aur is uljan se bhar nikal deen please please Guruji. I am begging you I want to study and work for my nation and parents. PRANAM GURUJI.
Swami Ram Swarup: Vidyarthi ke liye updesh
Maine pehle bhi bataya beti ki jis student ka dil bilkul bhi padhai mein nahin lagta woh uske ya to pichhle janam ke paap karma ka phal hai ya is janam mein woh aalsi hai. Aalsa karan bhi ek paap hai. Waise to yeh vedon mein kahi brahma gyan ki baatein hain iitni jaldi yahan kaise samjhaaun. Par thoda samjhane ki koshish karo yeh shareer, indriyan aur mann, buddhi prakriti ke rajo, tamo aur satogunn se bani hain isliye yadi kisi manushya ki kathor vedic sadhna nahin hai to rajogunn- vishya vikaar, tamo gunn- aalasya, nidra aur satogunn- ahankar failate hain. Pratyek pranni ke mann mein yeh vikaar hote hain. Wahi vikaar aapke mann mein bhi hain ya kisi bhi vidyarthi ke vikara se prabhavit mann padhai mein nahin lagta, vishya vikaar, ya aalas mein lag jaata hai.
Ab yadi aapko samajh mein aaye to yeh samjhna hai ki aap aur main ya duniya ka koi bhi human being na shareer hai, na indriyan hain aur na mann- buddhi hai. Hum ek chetan avinaashi jeevatmayein hain aur manushya ke shareer mein rehti hain. Hum jeevatmaon ko ishwar ne yeh shareer, indriyaan aur mann buddhi isliye diye hain ki hum inpar command karke mann-buddhi aur indriyon se kewal shubh karma,kathor mehnat , (hard working) itiyaadi karein. Inko jeevatma agya de aur woh kaam karein. Lekin aam insaan (jeevatma) ko yeh vedic gyan na hone ke karann ulta rajo, tamo, sato gunn se bane mann or bhuddi ka gulam banana padta hai. To mann kehta hai Vishay vikar karo to karne lagta hai, kyunki hum mann. Budhi par command na karke aur vedic gyan na hone ke karann avidyagrast hokar aalas, nidra , Vishay vikaar ko jo paap ki nishahni hai usey punnya maankar, theek maankar chusti nahin karte,mehnat nahin karte isliye achchhe karma nahi karte, burai ko burai nahin samajhtey or jeevan ko barbaad kar lete hain. Aap hi batao aapka mann padhai mein nahi lagta to kya aap usi waqt mann ke gulaam nahi ho jaatey or phir padhai band kar dete ho ya phir kisi soch mein pad jaate ho aur aasani se keh dete ho ki aaj mera padhne ka mood nahi hai, mann nahin hai yeh kitna bada paap hai, Jab kisi ko gyan ho jaata hai ya pichley janam ka punnya saath hota hai to is rahasya ko jaanne ke liye woh vidyarthi- manushaya , nari (i.e., jeevatma) fauran mann ko order karti hai ki mian tere jaal mein nahin phansungi main tera commander hoon. Mujhe Ishwar ne tere upar command karme ke liye bheja hai. Isliye as a commander main (jeevatma) tujhe hukam deti hoon ki yeh aalas,nidra aadi chhodkar padhai mein lag ja or iss prakaar mann haar jaata hai aur usey apne commander kee baat maannee padti hai aur aisa vidyarthi padhai karke apne jeevan ka sudhaar kar leta hai. Anyatha maa-baap, rishteydaaron, doston aadi ke samjhane par bhi vidyarthi (jeevatma) mann ka gulaam banker padhai ya shubh karma nahi karta woh kisi kee nahi sunta. Isliye vidyarthi apne chetan swarup jeevatma ko samjhe or mann, buddhi, indriyon or shareer rachna ko samjhe, Ishwar ka naam jaap karey, phir kabhi bhi koi haani nahi hogi. Hamara yeh vichaar paap wala vichaar ho jayega ki Ishwar chahta hai ki hum padhein ya shubh karma na karein. Hum aise gande vichaar tabhi rakh saktein hain jab hum ved vidya nahi suntey aur phalswarup Ishwar ke divya karma, gyan or shakti tatha uske swarup ko nahi jaante. Yahaan yeh samjho ki ishwar hamara parampita hai. Usne yeh sansaar aur uske yeh padarth jisme vayu, anna, dhan, parivaar aadi sainkadon padarth hamare sukh ke liye banayein hain aur sabse badi daya Parmeshwar ne manushya jaatee par yeh kari hai ki usne hamein Charon vedon ka gyan diya, jispar chalkar hum apne sabhi paap karmon ko nasht karke iss jeevan aur aaney wale jeevan ko sukhi banaakar arth, dharma, kaam aur moksha ke sukh ko prapt karein. Ab yahaan yeh kehna padta hai ki kisi ne badaa sundar kaha-
“Jisko nahi hai bodh toh Guru gyan kya karey”
Burai mein fanskar jisko gyan prapt karney kee ichha hee nahin hai toh usey Brahmagyani acharya bhi shiksha de toh woh shiksha grehan nahi karega. Isliye gyan lene kee swayam ichha honee chahiye aur mann mein uthe paap karmon aur buraiyon ko maar dena chahiye kyunki kaha bhi hai-
“Mann jeetey jag jeet”
Isliye Geeta shloka 6/5 mein kaha ki Aatma ke dwara aatma apna udhdhaar karey arthat manushya swayam hee aalas tyagkar purusharth aur utsaah, sadhna evam shubh karmon ko kartey hue swayam apna udhdhaar karey kyunki swayam aatma hee aatma ka bandhu hai aur aatma hee aatma ka shatru hai. Arthat Vidyarthi ho ya manushya ho jab tak kisi ved ke gyata se prerna lekar swayam purusharth nahi karta, jeevan mein apna acchha target banaakar (padhai-likhai, dhan kamaney, mata-pita kee sewa karney, shubh karma karne ityaadi) usey prapt karne ke liye kadee mehnat nahi karta toh uska patan nishchit hai, woh apne iss jeevan ko nasht kar leta hai. Ishwar toh hamara parampita hai isliye toh hamein aagey badhne ke liye vedon mein bahut gyan diya hai, achchhee-achchhe shikshayein dee hain. Yadi hum swayam purusharth karke vidwanon se ved na suney, unse prashann karke apnee bhrantee ka samadhaan na karein aur iss prakaar apne kashton ka naash na kare toh issme Ishwar ko dosh lagana mahapaap hai. Isliye Kathopnishad ke Rishi ne kaha- ‘ Uttishthata jagrat prapya’ arthat Rajo gunn ityadi se utpann vikaron se jaago or swayam apne lakshaya ko prapt karo.
Jab aap exam mein topper rahe tub aap par rajo or tamo gunn ka prabhaav nahi tha isliye aap mehnat kartey the ab pooree tarah se aap rajo, tamo aur sato gunn ke prabhaav mein ho, aap ko swayam upar kahe updesh par chalkar in teenon gunnon ke prabhav ko hatana hoga.
Yeh vichaar ved ke virudh hai, Ishwar ke khilaaf hai ki jo karta hai woh Ishwar karta hai. Vaastav mein iska arth yeh hai, jaisa Yajurved mantra 7/48 mein kaha ki Jeevatma achhey-burey karma karta hai Ishwar uska kramshah paap-punya ke roop mein phal deta hai. Aur puny ka phal sukh aur paap ka phal dukh bhogna hota hai. Isliye Ishwar sab kuch nahi karta. Woh hamare karmon ka phal deta hai. Baakee Ishwar ke anant divya kaam hain jaise janam-mrityu, srishti rachna, rituon kee adla-badlee, aakash mein surya, chandrama, prithvi ityadi ko ghumanaa aur unhe sambhalkar rakhna ityadi-ityadi. Yadi Ishwar humse apnee marji ke acche-burey karma karaey toh dosh Ishwar par jayega, hum par nahi aur aisa kabhi hota hee nahi hai. Mera tumhe ashirwad.