Dinesh: Ved Shashtro mein sharb peena paap kiyun kaha gaya hai ? Kirpa karke vistar se samjha dein.
Swami Ram Swarup: Sharaab peeney se kidney, lungs, liver aadi anek angon mein kharabi aati hai. Blood pressure bhi theek nahin rehta. Yeh ek nasha hai jo kai gharon ko barbaad kar chuka hai. Isko peekar kai manushya to ladai-jhagda karte rehte hain parantu vishesh karann yeh hai ki Ishwar kee bhakti mein mann-buddhi aadi sabhi indriyon ko control mein karna padta hai aur asan par baithkar shaant-chitta hokar prataha evam saanyakaal Ishwar ke naam ka simran karna hota hai jo ki sharaab peene se aisa karna sambhav nahin. Paap aur punnya kee definition yahi hai ki vedon ke anusaar karma karna punnya aur vedon ke virudh karma karna paap hai. Atah jub ved kisi bhi nashey ko karne ke liye manaa karte hain to jo bhi nasha karega woh ved virudh paap hee to karega.
S: Swamiji kya Ram ke koi sister bhi thi? Agar thi to wo mahal se dur ku rahi? Kya mata sita ka born dharti se huaa? Aur ye kaise possible hai?
Swami Ram Swarup: Sri Ramji kee koi bhi sister nahi thee. Nahi, Mata Sita dhartee se paida nahi hue thee. Usnein apnee mata jiska naam Yogini tha, ussey janam liya tha aur Pita ka naam Raja Janak tha.