Anupama: Pujya Guru Maharaj ji ke charno mei mera karodo baar pranaam!
Guru maharaj ji aap kaise hain? Ishwar se hum sab roz duva karte hain. Maharajji mera ek prashn hai. Aap se vinti hai ke app kripa karke mere agyaan ko dhur kijiye. Mahrajji jab saadhak sacche mann se Vedo par chalne ki kosish karta hai, tap, swadhyaaye aur Guru bhakti karne ki kosish karta hai toh vighan kyu aate hai? Agar aate hai toh saadhak ko usko kaise deal karna chahiye? Mann mei
kabhi kabhi tark-vitark paida hote hai. Kya woh bhi sanshaye ka hee roop hai? Agar hain toh inko kaise
dur kiya jaaye q ki mei ne aap ke hee pravachan mei suna thaa ke itni shraddha aur seva ko ikkhatta karlo
ke saare sanshaaye mitt jaaye. Maharajji mere andar ke vikaaro se bahut darr lagta hai q ki ye toh hum
se paap karva denge aur aap toh jaante hee hai mere saare paap. Aur ek aur baat aapke hee pravachan mei suna hai ke raja rishi se keh rahe hai ke unhe
rishiyo se darr lagta hai q ki agar woh naraaz hogaye toh peediya nasht hojaayenge. Mei bahut pareshaan hu
Maharajji,aap se vinti hai mujh jaise neech pe aap kripa karke mera marg darshan kijiye…….Bahut paap kiye hai Gurudev ab bas aapke sharan mei puri tarah se surrender karna hai aur mei puri tarah kosish karne mei juti hun.
Darr lagta hai ke apne hee vikaaro ke wajah se aap ka sharan na choot jaaye. Aap se namr vinti hai
aap inn vikaaro se raksha kijiye Gurudev. Abhi bhi aap ka hee pravachan sunn rahi hun, uss mei aap keh rahe
hai ke agar koi prashn hai toh GURU se karna chahiye warna woh agyaan waise hee reh jaayega. Isliye aap hee
ke prerna se mei aap ko ye letter likh rahi hu.
Mere se agar koi galti hogayi ho likhne mei toh, aap se vinti hai ke aap kripa karke maaf kardijiye.
Swami Ram Swarup: My blessings to you all, my daughter. Beti, yeh shareer Raj, Tam, Satva gunn ka banaa hai jismein bahut vikaar hain. Iske saath mann-buddhi bhi hai jo pichle janamon ke karmon ke prabhaav se vishaye-vikaar wali bhavna se lipt hain. Jeevatma poora vedic gyan or sadhna mein kami honey ke karann, inhee paanch gyan indriyon aur mann-buddhi ke adheen hai. Isliye jab sadhak sadhna karta hai to pichhley sanskaron aadi ke karann vighan to aaney hee hain. Is vishaye mein aap Yog Shastra sutra 1/30 aur 1/31 ka adhyayan karein jismein 9+5 vighan kee baat kahee gayee hai.
Isliye sadhak ko vighan se nahin ghabraana chahiye. Yeh to ayeingey hee. Sabhi sadhakon ke jeevan mein aatey hain. In vighanon ko naash karney ke liye rozana kee sadhna aur dhairya kee avashyakta hotee hai.
Vighan ke aaney par sadhak ko shant hee rehna shreshth hai aur Yog Shastra sutra 2/33 ke anusaar yeh sochna chahiye ki hum vighan par dhyan na dein, uske opposite sochein ki hum sadhna aur achhey grihasth ke karmon mein lagey rahein. Hamare kaam, krodh, madh, lobh etc., vikaar na jagein, hum unpar control rakhein. Tark-vitark achhey bhaav wale honey chahiye.
Burey bhaav wale vichaar uthein to Yog Shastra sutra 2/33 par vichaar karein. Seva ka punya dheerey-2 ikktha kiya jaata hai, jaldbaazi mein nahin. Isliye shanti aur dhairya se sadhna mein lagey raho. Vikaaron se darr nahin lagna chahiye. Jaisa isko upar sutra 2/33 mein kaha waise vichaar banayein.
Agar koi vichaar hamse paap karvaata hai to hum kamzor hain, hum jeevan se haar gaye. Hum un vichaaron se ved-shastra ke anusaar ladkar jeet nahin paaye to phir yeh apna kasoor hua, ismein doosre ko kya dosh dena. Aur phir hamein shubh karma karne hain, phal kee ichha nahin karnee, kyunki phal to Ishwar ne dena hai, swayam aayega.
Darr unko lagta hai jo chor, luteirey, paapi hotey hain. Sachhey insaan ko darne kee zaroorat nahin hotee. Doosra darr yeh hai ki sadhak is baat se darey ki koi galti na ho jaye- seva, sadhna, bhakti mein. Ismein thodi bahut unjaney mein galti ho jaaye to uskee kshama ho jaatee hai, isliye darne ka koi question nahin hai. Baaki mera sabko ashirwad.
Vijay Kumar: Please send Sandhya Mantra book.
Swami Ram Swarup: Book is being sent to you, please. However, I would also advise you to study the book Yajyen karma sarvashreshth Ishwar pooja (in Hindi) in which meaning and idea of every ved mantra has been mentioned and explained briefly.
Srini: Please send me Vedaminri Magizhchiyillai (in Tamil).
Swami Ram Swarup: Books are being sent to you, please.