Aryaveer: Koi bhi Satya nahi bolta. Apmaan se bachne ke liye Jhooth ka sahara lete hain. jab vyakti ka apmaan hota hai to uske dil ki dhadkan badh jati hai. Apni galati ko sweekar karna Brahm hatya hai. logon ka ye mat hai ki apni izzat bachane ke liye jhooth bolne me koi burai nahi hai. aap is Brahm hatya ke bare me kya kahna chahenge?
Swami Ram Swarup: Maan-apmaan ya kisi bhi dukhdayi situation mein manushya satya ka athwa dharma (moral duties ya kartavya karma) ka tyag nahin karta, toh usey dharma ka pehla lakshann- dhriti arthat dhairya kehtey hain aur aisey purush ko dharmik purush kehtey hain otherwise jo swarth ke liye aur apna maan-apmaan rakhney aadi ke liye jhooth boltey hain, unhein dharmik purush nahin adharmik purush athwa dharamheen vyakti kehtey hain.
Apnee galti ko sweekar karna prayashchit (repentance) hai jo manushya ko apne paap karma nashta karney aur dharma par chalne mein sahayata kartey hain. Jo apnee galti nahin dekhta, aur galtiyon mein sudhaar nahin karta uske paap karmon ka ghada bharta chala jaata hai aur jub weh paap se bhara ghada phootata hai tub uskee halat Ravanna, Kansa jaise hotee hai arthat weh paap karma ka phal bahut dukh uthakar bhogta hai.
Logon ka mat jhooth bolne ka ho sakta hai parantu Bhagwan ka yeh mat nahin hai aur na hee Ved-Shastron aur Sadgranthon ne jhooth bolne ke liye updesh kiya hai. Isliye jhooth bolna paap hai. Aapke sawaal mein Brahma hatya ka koi relation nahin hai. Brahma hatya alag subject hai.
Jitendra: Dhyaan kese lagaya jata hai guruji? kripya iski puri prakriya batane ka kast kare? agar koi beginner ho wo kese dhyan lagaye?
Swami Ram Swarup: Dhyan lagane kee kriya ko Gurujan , shishya ko saamne baithakar samjhatey hain. Yeh likhkar nahin dee jaati. Likhkar dene se samajh aayeegee hee nahin. Kyunki dhyan se pehle thoda gyan Yam, Niyam, asan aadi ka bhi deina hota hai jo aamney- saamey baithkar hee diya ja sakta hai.