Anonymous: Namaste acharya ji
Mai duniya ko accha bnana chata hun jab mai insano ke duara janvaro pe atyachar dekhta hun to merko unpe bhut daya aati hai or essa lagta hai ki unke sath bhut anyay ho raha hai unki jindagi pinjre se shuru or kisi ki plate mai jakar khatam hojati hai, or jo log hindu muslim ke naam pe marne pe aa jate hain unko ye kyun nahi smajh aata ki we all are humans only ,kyun nahi hum sab sath milkar rehe sakte kyun nahi insaan Or animals ek sath milkar nahi reh sakte , cows, hens, Buffalo etc bhut jada anyay seh rehe hain mujh se ghar pe shanti se nahi betha jata jab mai sochta hun ki is smay vo bechare vaisi jindagi jee rehe hain or jab mai unke najariye se duniya ko dekhta hun to merko jindagi ek shraap ke roop mai dikhai deti hai , or is school ki pdhai ka kya faida jab ye sab hi hona (pollution, no mercy on animals no shati) hai sab sirf apne faide ke liye sochte hain merko kuch karna hai sabke liye mujhse apne faide ke baare mai hi nahi sirf socha jata, mai sabko ek karna chata hun ,, kyun sare desh ek dusre se powerful ban na chate hain kya hoga is se, agar india sabse powerful ban gaya to kya hoga hum sabko sath leke bhi chal sakte hain par essa nahi hota
Or merko duniya ka sach jan na hai or knowledge chahiye par YouTube mai jahan bhi jata hun koi kuch bolta hai koi kuch sabse vishwash uth gaya hai merko spiritual gyaan chahiye par ye nahi pta kon sahi hai ,, apke pass ek hope dikhi isliye aaya hun.
Abhi mai 18 years old hun, pehle mai manta tha ki god nahi hote par mann mai shak tha ki itna systematic jo ho reha vo kese hora, fir mere dost nai shanti devi ji ka punarjanm ki story batai kya aap bta sakte hain ki esaa kese or kyun hota hai. Aaj essa mann hua ki apke pass jake ( Himachal) gyaan ki baatein pouchun . Pls aap reply kijiye
Swami Ram Swarup: Beta mujhe aapke vichar bahut achhe lage hain parantu yeh aapke shanshay yahan mere pass aakar hi mitenge, agar aap mere pass aa sakein to bahut achha hai. Kyunki itna lamba chauda gyan mobile par nahi diya ja sakta. Aashirwad. Mera address hai (details provided).