Sid: Pranam Guruji. Guruji aapne YOGDARSHAN book main kaha hai ki vikshiptvrittiaurkshiptvritiko confused aur perplexed stage kahahai please explain? Apka Bhaut bhaut Dhanayad Guruji.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Kshipt vritti weh hai jo kewal sansari baton mein sansari vyavaharon mein lagee rahtee hai. Jaise, janam lekar padna likhna, settle hona, padai-likhai nahin kee toh kaam karke dhan kamaana, shadi vivah karna, santanein prapt karna, sansar kee bhautik chamak-damak, moh-maya, vishaye etc., mein kho jaana. Isey kshipt vritti kahte hain. Ismein Ishwar bhakti ka koi lena-dena nahin. Vikshipt vritti weh hoti hai ki kshipt vritti mein kai kamnayein jo hotee hain- dhan kamaane kee, vishey-vikar kee, padai- likhai kee, car-bangle aadi khareedney kee ityadi.
Maan lo, kisi kee yeh kaamna hai ki meri shadi amuk ladke or amuk ladkee se ho jaaye aur woh kaamna pooree na ho toh krodh ayega, tension ayegee etc., to yeh jo krodh, tension walee vritti hai, weh vikshipt vritti hai. Maanlo, kisi kee kaamna hai ki mujhe amuk kaam se 10,000 ka fayada ho jaye toh yadi aisa nahin hua to phir usey krodh ayega. Yahi vikshipt vritti hai.
Harpal: Agni bandh sakti h kya guru ji?
Swami Ram Swarup: Actually, main aapke “bandh” shabd ko nahin samajh sakaa phir bhi iska arth main yeh samajhta hoon ki aap keh rahein hain ki kya agni ko kisi bandhan mein dala ja sakta hai, to aisa nahin hota, agni ko kisi bandhan mein nahin dala ja sakta kyunki agni sarvavyapak/omnipresent hai, earth, paani, hawaa mein hai, har padarth mein hai. To maan liya chulhey mein agni jal rahee hai, ab uske chaaron taraf lohe aadi kisi bhi padarth kee chadarein lagaakar usey bandhan mein daloge to aap socho hawaa mein aur chadar mein bhi agni hai aur woh sare kann-kann mein agni hai, hamare shareer mein bhi agni hai to agni ko bandhan mein nahin daala ja sakta.
Sid: Pranam Guruiji. Guruji please tell what does vedas say on- How a student should do the sewa of his parents.AapkeCharnoon main merapranam
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Student must obey parents and must look after their well-beings always. You see, when a child is born then mother and father nurse him, even by cleaning his urine and potty etc. Yajurved states in any case, if mother or father fall sick and time come to clean their urine etc., then especially male student must never hesitate.