Anupam: गुरुजी सादर प्रणाम। गुरुजी गीता के श्लोक यदा यदा ही धर्मस्य ग्लानिर्भवति का अर्थ आपके द्वारा भावार्थ की गई वैदिक गीता से पढ़ रही थी कि जब धर्म की हानि होती है तब मैं आत्मा को रचता हूँ। गुरुजी पढ़ने पर समझ आया कि मुक्त आत्माएं 24 प्रकार की सामर्थ्य से युक्त रहती है व इक्षानुसार कोई भी व कभी भी शरीर धारण कर सकती है तो क्या ये मुक्त आत्माएं अपनी इक्षा से ही ऐसा कर लेती है या ईश्वर प्रेरणा से।जब ये आत्माएं मुक्त होती है तो शरीर धारण के उपरांत कष्ट क्यों पाती है जैसे कृष्ण का जन्म कारागार मे होना,उनके पुत्रो की मृत्यु होना, आदि।आपने प्रवचनों में बताया कि 36000 बार सृष्टि बने बिगड़े,इतने लंबे समय का मोक्ष होता है यानि उस समय जिस आत्मा ने कृष्ण रूप में जन्म लिया वो धर्म की हानि होने पर व अधर्म बढ़ने पर कोई न कोई रूप में पृथ्वी पर आती ही होगी तो क्या वह मुक्त आत्मा लोगो को अपने कृष्ण रूप को पूजता देखकर प्रसन्न होती होगी।अपने अथक परिश्रम के बाद किसी वैदिक धर्म पालक को समाधि प्राप्त होती है तो मुक्त आत्माओ जैसे कृष्ण राम दयानन्द आदि जो इस समय कोई योगी ही जानता है कि वे किस रूप में क्रियाशील है कि किस प्रकार पूजा की जानी चाहिए या ये ईश्वर उपासना से ही प्रसन्न होती है।गुरुजी मुझसे किसी ने कहा कि गीता में श्री कृष्ण जब वेदाधारित ज्ञान दे रहें है तो वे स्वयं अवतार वाद केविषय में क्यों कहरहे है।वैदिक गीता पढ़कर मुझे सही ज्ञान प्राप्त हुआ पर उपरोक्त प्रश्न मन में आये।गुरुवर समय मिलने पर मेरी शंका का निवारण करें।सादर नमन।
Swami Ram Swarup: Mera aapko ashirwad beti. Mukta Atma swayum kee ichcha par karya kartee hai kyunki weh mukta hai. Kashta sehna usko kehtey hain jo mukta jeevatma ko anubhav ho. Mukta jeevatma swayum kee ichcha se chahe jail mein janam le, Mazdoor ke ghar mein janam le ya Raja ke ghar mein janam le, yeh uskee swayum kee ichcha par nirbhar hai. Parantu Yajurveda mantra 40/14 ke anusaar Atma Avidya grast nahi hotee. Isko avidya/agyan chchoo nahi pata. Isliye ye mrityu ke dukh se parey hai. Adharam badne par ye zaroori nahi hai ki mukta Atma aaye. Jaise meine pehle hee kaha hai ki ye mukta Atma kee ichcha par nirbhar hai ki wo aatee hai ya nahi aatee, Mukta purush to hamesha hee poojneeya rehta hai, pehle bhi poojneeya tha, aaj bhi poojneeya hai. Chahe koi uskee Pooja arthat aadar, maan-sammaan koi karein athwa na karein. Woh mukta Atma aisee baton se parey hai.
Han! Ved kehta hai ki mukta Atma sadaa poojneeya hai. Mrityu ke pashchaat kewal unko uske gunon ke adhaar par mann mein aadar-maan-satkaar aadi ka bhaav hona chahiye, unkee shikshaon par chalna chahiye. Iske atirikta kuchh nahi.
Shareer mein sthit jeevit mukta Atmaon ke adheen rehkar Vedic shiksha, yogabhyaas aadi sekna, Jeevan mein Vedic shikshaon ko dharann karna aur is prakaaar Yajyen, agnihotra, yogabhyaas aadi karke Ishwar kee upasana karna manushya ka dharma hai. Issey Ishwar prasann hota hai. Beti aap mrityu prapt jeevatmaon ko adhik Shreya de rahee hain jabki woh kisi ko bhi kuch shiksha nahi de sakte, bol nahi sakte, pravachan nahi kar saktre. Aap jitney bhi prashan karte hain aur mrityu prapt jeevatmaon ke baare mein bhi baat kartein hain, weh mujh jeevit Acharya se karte hain, ye aap mrityu prapt jeevatmaon se nahi kar sakte. Atah aapka dhyan mrityu prapt jeevatmaon par adhik hai, jo hona nahi chahiye. Kewal unkee shikshaon aur vichaaron par hee dhyan dena chahiye aur unkee shikshaon ko bhi aap jeevit Acharya se hee samjha sakte hain, mrityu prapt jeevatmayein samjhane nahi aa saktee. Isliye Rigved mantra mein kaha ki Mata-Pita se janam liya hua jeevit Acharya chahiye, mrityu prapt nahi. Geeta bhashya mein maine yahee spasht kiya hai ki Shri krishna ne kahin bhi swayum ko avatar nahi kaha hai. par aap ekagrachit se Geeta ka bhi Adhyayan nahi kartey. Mann aur chitta aapka sansaar mein aur sansaari logo kee baton rama rehta hai.
Jub Ishwar ke baare mein spasht kiya hai ki woh aj ek paad hai. Aj ka arth hai- ajanma arthat Ishwar janam-maran se pare hai. Yajurved mantra 40/8 mein kaha- “Akayam” arthat uskee kaya- shareer nahi hota. Ye dono hee mantra kai baar maine lekhon mein likhein hain, aapne padein lekin chintan nahi kiya.
(Ek Paat) ka arth bhi maine kai baar pravachnon mein samjhaya ki is rachna ka arth hai ki Ishwar kee ek tanik see Shakti jub prakriti mein karya kartee hai tub srishti kee rachna prarambh hotee hai, ityadi. Par aap chintan nahi kar paatey. Abhi mera Bhagwad Geeta bhasa Adhyaye 4, shloka 5 ko dekhein. Ismein Shri Krishna spasht keh rahe hain ki Hey Arjun! Mere aur Tere bahut janam vyatit ho chukey hain, un sab janmon ko main (Krishna) jaanta hoon, tu nahi jaanta. Is shloka par beti apne vichaar kyun nahi kiya? Jub Shri Krishna keh rahein hai ki unke bahut janam hue to woh jeevatma hain, avtar-Parmatma nahi hai. Woh Yogeshwar the, isliye apne pichchley janmon ke gyata the. Parantu weh Ishwar athwa avatar kadaapi nahi they.