Arya Vinod: Kya ishwar upasna se kiye huye paapon ka dukh rupi phal bhogna nahi padega?
Swami Ram Swarup: Vedon mein spasht kaha hai ki Ishwar kiye hue apradh ko kabhi kshma nahin karta apitu Yajurved mantra 7/48 ke anusaar Ishwar jeev ko karmon ka phal pradaan karta hai. Han! Yeh bhi Ishwar ka hee niyam hai kee vidwaan kee sharann mein jaakar jub jeev brahmacharya aadi ka paalan karke vedadhyayan , nitya yajyen/hawan, ashtang yog sadhna, Ishwar ke naam ka jaap aur grihasth ke aur samaj evam desh ke prati sabhi shubh karmon ko karta hai aur sansaar ke bhogon ka tyagpoorvak bhog bhogta hai, tub Ishwar paapon ka nash kar deta hai kyunki upar kahi sthiti mein jeev paap karne layak rehta nahin hai, uskee indriyan sayam mein aa jaati hain, tub Ishwar uske pichhley karma-phal nasht kar deta hai aur moksha pradaan karta hai. Aisa Charon vedon mein hee kaha hai. Ukta sadhna karne wale ka Parmeshwar swayam rakshak ho jaata hai.
Arya Vinod: Kya ishwar hamare paap kshama kar sakta ha?
Swami Ram Swarup: Jaisa maine upar likha, Ishwar hamare paap kshma nahin karta, weh nyay karta hai, isliye karma ka phal deta hai. Han! Yajyen aadi karke, jaisa upar kaha, weh karma phal nasht kar deta hai.
Arya Vinod: Koi maata masik dharm ke doran hawan toh kar sakti hai,lekin rasoighar me pravesh bhi kare aur bhojan bhi banaye kya?
Swami Ram Swarup: Dekho beta Yajyen/hawan ek adhyatmik aur bhautik, sabse uttam shubh karma hai, bhaav hai ki adhyatmik hone ke karann Ishwar kee upasana, prarthna aur shubh karma aadi hote hain aur bhautikwad mein daali hui aahutiyan vaayu mandal ko shuddh kartee hain . Isliye maasik dharma se utpann honey waley kitannuon ka wahaan koi prabhav nahin hota apitu Ishwar kee upasana, shubh karma aur shuddhi karann hota hai. Jub rasoi kee bat kareingey to wahaan upar kahee sthiti nahi hai. Isliye wahaan kitannu hotey hain, shuddhi-krarann nahi hota.