Raju: Pranam Rishiwar, aaj hamne pahli bar net lagwaya hai. Is liye hum sab ki aur se apko dandwat parnam karte hai, aur aaj bhamti ka b;day bhi hai. Hame ashirwad dijiye.
Swami Ram Swarup: Raju beta sub parivar ko mera ashirwad aur yeh badi khushi kee baat hai ki apne internet lagwaya kyunki yeh aaj kee duniya mein sabhi prakar ka gyan dene ka zariya hai. Parivar issey achcha- achcha gyan prapt karey.
Bhamti beti ko uske shubh janamdin par bahut ashirwad. Padey-likhey mahan baney, sadaa sukhi rahey.
Sab parivar ko ashirwad.
Ankur:Swami g runing karne aur kya kya fyde hai detail me btae aur kya uchalne jump krne aur dips marne se bhi hight bdti hai ya nhi please btaye…
Swami Ram Swarup: Jo-jo kuchh aapney likha hai ussey health ko bahut fayada hai. Jaise issey pet ki bimariyan, kabaz aadi door hongee, khul kar bhookh lagegi. Kidney, lungs aur liver theek theek kaam karega aur lambi aayu hogee. Blood pressure theek rahega aur blood ka circulation bhi theek rahega. Shareer sadaa chust banaa rahega, itiyadi. Han! Din bhar mein kum se kum 15 glasses ya zyada paani peena zaroori hai.
Arya Vinod: Paap, paap karm aur paap ke sanskar, ye Inme kya antar hai?
Swami Ram Swarup: Karmon ka hee sanskaar chitta par padta hai. jub koi achchhey ya burey karma karega to un karmon ka hee sanskaar chitta par padta hai, jo mrityu ke samay agle janamon mein karma-phal bhogne ke liye chitta ke sath jaata hai.