U: Pranam swamiji,swamiji Maine abhi graduation ke 1st yr ki exam di hai lekin mera maan aab sirf bhakti karne ko kaheta hai mai apke bataye huye sab margh par chal raha hu jaise hawan karna brahmacharya palan karna maine apki brahmacharya dukh niwarak divya mani padhi hai aur usko follow bhi kar raha hu.muzhe apse vedo ka gyan lene ki iccha hoti hai.lekin agar mai bba karta hu toh vedo ka gyan nahi le sakta.swamiji aap batayiye ki mai kya karu. swamiji apne muzhe aug mai 6-7 din ke liye aneko kaha hai kya mai Aug mai kaunsi bhi din ajaun ya fir aap
muzhe Aug mai kisi din aneki agya dijiye (matalab aneki date dijiye).swamiji kya mai apse ashtang yog ke sath apse apne jivan ka nirnay lene ke liye apse kuch gyan le sakata hu.swamiji krupa kar mere prashana ka uttar dijiye,aur agar maine kuch galat prashna kiye hai toh mafh kariye.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Vedon mein aisa nahin kaha hai ki kewal bhakti karo ya kewal sansarik karma hee karo. Vedon mein bhautikwad arthat sansaar ke shubh karma jaise padai-likhai , kartavya nibhana, mehnat kee kamai karna ityadi aur sath mein adhyatmikwad arthat Ishwar bhakti yani bhautikwad aur adhyatmikwad dono ki tarakki sath sath karnee zaroori hai. isliye aap himmat todkar yeh kyun keh rahe hain ki aap BBA chhodna chahte hain. Yeh to ek paap ho jayega aur phir bhakti bhi kuchh nahin karegee. Han! Aap 2-4 din ke liye agar yahaan mata-pita kee permission leiker aa sakte hain to avashya ayein aur gyan leikar chhale jayein aur apnee padai pooree karein. Padai ke sath sath bhakti bhi karein. aur jo aap hawan kar rahe hain aur brahamcharya dharann kar rahe hain to Ishwar kee bhakti aap shuru kar chuke hain jiski bahut khushi hai. Jab aap yahan ayeingey to aapko vedon ka hee gyan diya jayega. Saal mein ek baar 2-3 din ke liye holidays mein aa jaya karo. Yeh august month chal raha hai, aap jab marzi aa jayein. Yahaan aakar aapko sab gyan milega. Mera tumhein ashirwad.
Namash: Is Sati Pratha also followed by pregnant women?
Swami Ram Swarup: Sati pratha is against the Vedas and therefore is a sin. Whatever has happened before has happened but now Government has also made law to stop sati pratha. So, nowadays sati pratha is illegal also.
Gangadhara: Please send me Divya Gnana book.
Swami Ram Swarup: Book is being sent to you. You may also contact Shri Guru Prasad
of Bangalore.
SPI: Please send me all books of Geeta and Vedic Prashnotri.
Swami Ram Swarup: Books are being sent to you, please.