Anupam: गुरुजी सादर प्रणाम।गुरुजी क्या अष्टावक्र जनक के समय के ऋषि थे।उनका वर्णन क्या बाल्मीकि रामायण में है।या अष्टावक्र का वर्णन उपनिषदों में है।वे किस रूप मे प्रसिद्द है।
Swami Ram Swarup: Ashtavakra Raja Janak ke samay mein hee the aur unka varnnan upnishad mein milta hai.
Smita: Pranam guruji , agar koi hamara bura chahta ho ,hamara apaman karta ho , jo humse samne achha bolta ho par anderse hamari burayi karta ho, waise logo ke sath kaise rahe ? .. kya log kehnese hamara bura ho jayega?
Swami Ram Swarup: My blessings to you, beti. Jo kisi ka bura chahta hai, uska bura apne aap hee ho jaata hai. Isliye aap kisi ka bura mat karo aur na socho. Jo tumhare baare mein bura sochtey hain, unkee chinta kee avashyakta nahi hai, unko Bhagwan phal apne aap hee de deta hai.
Nik: Swamiji ! Pranaam !! I do want to donate some money on a regularly basis whenever possible !! Please give me the details !! Also Swamiji please bless my family with your guidance !!
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Nikhil beta, mera aapko ashirwad. Aapke vicharon kee main kadar karta hoon parantu main abhi aapko poore tarah jaanta bhi nahin. Kripya aap apnee pooree detail aur address bhejein aur Ishwar kee Pooja kaise karte ho, yeh bhi batayein. Phir mein aapko sewa ke liye sochkar bataoonga. Mera tumhein phir Ashirwad.