Anupam: धन्यवाद गुरुजी।गुरुजी गलती से संजय की जगह विदुर लिख गई पर गुरुजी संजय के पास ऐसी कौन सी शक्ति थी जिससे उन्होंने दूर चल रहे महाभारत युद्ध का वर्णन धृतराष्ट्र को महल मे ही सुना दिया।गुरुजी क्या महाभारत मे द्रोपती का युधिष्टर के साथ केवल विवाह वर्णन है उनकी संतानो के जन्म का वर्णन नही है।कृष्ण द्वारा चीर बढ़ाया जाना क्या पौराणिक कथा का अंश है।
Swami Ram Swarup: Geeta mein agar eighteen adhyay seventy-five shloka dekhein tab us sey pata chalta hai ki Vyas Muniji Mahabaharat ka vritant Krishna Maharaj ko suna rahe hain jise wahan Sanjay bhi sun rahe they.Wahi vritant Sanjay ne Dhritrashtra ko suna diya.
Mahabharta mein Draupadi kee santanon ka bhi varnnan hai jinhein sote hue Ashwatthama ne maar diya tha. Cheer harann ke baare mein beti pehle bata chuka hoon.
Sukanya: Bavishya bareme Guruji apa bataa sakte hai mere education bavishya ka bareme..mera kundli me kya hai?? Yiske bare me.. Bavishhya me Mai job karta huu ya nahi?? And mere shadi kab hugega??
Swami Ram Swarup: Jitne prashan aapne kiye hain unke Vishay mein ved-shastra yahi kehte hain ki yadi manushya ved marg par chale to weh apna bhavishya khud nirmannn kar leta hai anyatha hum sab is prithivi par janam lekar pichhle janamon ke achche-bure karmon ka bhog bhogne aaye hain aur ab jo naye karma kareinge is janam mein, un karmon ka bhog aane wale Jeevan mein bhogeinge.
Akanksha: Thank you for your response.
Swami Ram Swarup: You are welcome, my daughter.
Chetan: Guruji namaste . mera tatparya tha ki desh ka apmaan sehan nahi kiya ja sakta . aisa kyo . aur agr koi desh ka apmaan kare aur agr shaanti se baat ban jaye to yudh anivarya hota hai ya nahi . aur desh ka maan humare liye kyo jaruri hai . aur ek brahman se koi desh ke bare mein galat bolta hai to brahman sadhak ki trah chup rhta hai ya jhagda karta hai . btaiye guruji muje . parivaar aur desh ka maan kyo jaruri hai . apmaan kyo sehan ni kiya ja sakta in dono case mein.
Swami Ram Swarup: Namasteji. Desh ka apmaan isliye nahi saha ja sakta kyunki Desh kee bhoomi hamari mata hai aur mata kee hamne raksha karnee hai. Doosra, desh praja se hai. Jab praja hee nahi hogee tab desh kahan hoga. Yudh anivarya bilkul nahi hai lekin kehte hain ki ek baar ek hiran pahaad ke upar se neeche ko bahtee aa rahee nadi mein se paanee pee raha tha. Hiran se kuchh upar kee aur ek sher panee pee raha tha, sher ne hiran ke bache ko dekha aur kaha tune mera panee jhuta kar diya isliye mein tujhe kha jaoonga. Hiran ne kaha Eh Sher! Pani toh upar se neeche kee aur behta aa raha hai toh usey main kaise jhootha kar sakta hoon. Aur sher ne hiran ke laakh samjhane par bhi hiran kee baat nahi maanee aur hiran ko kha gaya. Isliye jub aisee sthiti aa jaye ki ek paksh ka iradaa hee tarah-tarah ke bahaane banaa kar yudh karna hee hai tub toh doosre desh, concerned desh ko yudh ke liye tyaar rahna hee chahiye. Brahmin ho ya koi varann ho, desh kee ninda nahi sahee jaatee, uska pareesthiti anusaar jawaab diya jaata hai.
Anonymous: Swami jee pranam mera ek sawal panini ke annusar ‘वध’ धातु स्वतन्त्र है ही नहीं जिसका अर्थ ‘मारना’ हो सके to वध्येते हिंसा वाले वध के रूप में नहीं हो सकते हैं !! parantu apne rigveda 7/56/17 mein kaha ki आरे गोहा नृहा वधो वो अस्तु yahan ‘वध’ धातु स्वतन्त्र है aur hinsa ke lie hua hai ? is confusion ko clear karenge swami jee.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Vadh (dha par halant hai) +Achch (chch par halant hai)= vadh (dh par halnta nahin hai)= Hatya.
Kripya aap apne is sey connected pichchley prashan aur mera uttar dono bhej dein.