Anupam: Guruji sadar pranam.guruji kya daink sandhya ishwar ko koi bhi prarthna ya bhajan bolker ki ja sakti hai ya sanskrit me hi karni hoti hai.guruji aaj mai ek aryasamaji parivar se mili.ve arya samaj me pravchan dete hai.unhone kaha aap to bas ishwar dhyan me baito.man pavitra rakkho.kisi ke liye bura mat socho or kaise bhi prarthna karo per uske liye samay nikalo.gandhiji ki apni prarthna thi.per vo niyamit karte the.ishwar ko prem karoge to vo nishchit milega.maine sehej marg ka prashna pucha v kaha ki ve sab bhi to yahi karte hai.per seedhe dhyan me baithne ki kehte hai.kya yam niyam adi avasyak nahi hai.ve bole aap to bas uski prarthna karo baki sab to khood sidhh ho jayenge. Rasta koi galat nahi hota .bas ishwar dhyan me samay de.guruji margdarshan kate.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Sandhya mantra hamesha Sanskrit bhasha mein hee bole jaate hain. Beti, sansaar mein sabke apne apne vichar hote hain. Un Arya samaji ke bhi apne hee vichar hain. Vidwaan log kehte hain ki hamein Ishwar se utpann vichar apnane hain. Isee mein kalyann hai aur Ishwar ke anusaar Yam, Niyam, Asan, Prannayam, Pratyahar, Dhranna, dhyan, Samadhi yeh aathon angon ka kramashah abhyaas kiya jaata hai. Vedon mein Sandhya mantron dwara prarthna,stuti aur upasana, in teenon prakar ke mantron ka uchcharann aur aacharann avshyak hai. Ishwar se prem tabhi hoga jub hum vedon se Ishwar ke gunnon ko janeinge.

Prachi: Who will be my future husband from which leter its name will be started and his origin place?
Swami Ram Swarup: Beti, it is our own decision, so you can go ahead, as you wish.