Sunil: Hamare panchang kyun difine nhi kr pate har festivals ko? Pratyek festival two Or three days ka kyun hota hai? Ye bahut badi samshya hai snatan ke liye guru ji
Swami Ram Swarup: Beta yeh bhakti hamare purvajon kee banai hui. Aap kah sakte hain ki manushyon kee banai hui bhakti hai. Manushyon kee bhakti mein galtiyan sur changes aati rahti hain. Agar isey badlne ke liye koi kahega to ladai sambhav hai.
IA: Pranaam Maharaaji, what is good karma’s that we should follow, specially jab hum responsibility bandhe hue hai?
Swami Ram Swarup: My blessings to you beti. Beti jo niyam hai woh to yeh hai ki vedon mein kahe karam jo karta hai woh punyawan karma hain aur jo vedon ke khilaf karam karta hai woh paap yukt karma hain. Atah her responsibility ko samjhane ke liye vidwan se ved sunna anivarya hai. Jaise ved mein kaha yaj karo to yaj ka arth vidwan batayenge ki dev pooja sangtikaran daneshu iti yajah. Dev pooja=mata pita, atithi, guru kee sewa karna. Sangtikaran ka arth hai ved ke gyata vidwan jo sanymi hain unhe sewa se tript karna jaise Sri Ram, Krishna Maharaj, Sita, Madalasa aadi unginit nari aur purushon ne pichhle yugon mein kiya tha. Teesra hai daan arthat harek kisi ko daan nahi diya jaata. Daan lene ke adhikari rishi, muni, tapasvi jan hain unhe daan dena chahiye badle mein woh ved vidya ka daan karte hain. Iske paschat yaj mein baithkar ved mantron se ahutiyan daalna. To ek yaj ka arth hee bahut bada hai yeh to tanik sa hee likha hai. Bhav yeh hai manushya ko ved sune bina gyan kabhi nahi ho sakta. Aashirwad.
Rajendra: Please send me Geeta and Vedas a Divine Light sets.
Swami Ram Swarup: The books will sure be sent to you my son after lockdown gets over.