Raghvendra: Hello Swami ji me Kisi ladki se pyar Karta tha. Or bo bhi mujko bahut pyar karti thi lekin us ladki ne suicide kar liya . Guru.ji me aaj tak nahi samjh paya Hu esa kya Hua tha uske sath . Jisse usne esa madam uthaya tha. Guru. Ji m mujhe uski bahut yaar aati . Sochta. Hu Ki me bhi suicide . Kar Lu.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Suicide karna ek paap hai aur doosra yeh ki suicide karne ka matlub hai ki Ishwar ka anaadar karna kyunki Ishwar nein hamein sabse keemti manushya ka janam diya aur hum us shareer ko sweekar nahi kar rahe, wapis lauta rahe hain. Vastutaha, gyan ke bina karma uchit nahin. Na aisa karma sukh deta hai. Agyan ka karann hee paap bhi hotey hain aur suicide bhi hotey hain anyataha gyani badi se badi museebat mein bhi suicide karne kee baat soch bhi nahin sakta. Dobara phir kehta hoon suicide paap hai aur iska phal Bhagwan bade kasht ke roop mein agley janamon mein deta hai.
Is vishaye mein mera article is prakaar hai-
SUICIDE
Yajurved mantra 7/48 ke anusaar hum jeevatmayein manushya kee yoni mein aakar paap athwa punya karma karne ke liye poornataha azad hain parantu hamare kiye hue karmon ka phal kramshaha dukh evam sukh ke roop mein Parmeshwar deta hai. Artaht karmaphal hamare haath mein nahin hai. Doosra Rigved mantra 10/135/1,2,3 ka bhaav hai ki Parmeshwar nein hamein manushya ka shareer pichhley janamon mein kiye hue paap aur punnya karma ka phal dukh aur sukh ke roop mein bhogne ke liye diya hai aur ab jo paap aur punnya karma kareingey uska phal agley janamon mein bhogeingey. Bhaav yeh hai ki atmahatya ek mahapaap hai isliye jo atmahatya roop paap karta hai, weh bhi janam lekar avashya is paap ko mahadukh ke roop mein bhogega hee kyunki yeh Ishwar ka banaya hua srishtee ka niyam hai. Aur woh janam Rigved mantra 10/51/3 ke anusaar manushya ke shareer ka nahin hoga apitu kutta, billi, gadha, ghoda, saanp, bichchhu athwa keet patang ka shareer wala hoga.
Asal mein to Ishwar nein hamein manushya janam vedic sadhna karke Moksha prapti ke liye diya hai yadi hum vishya-vikaron mein padkar shareerik aur mansik pareshaniyon ka khud shikaar ho jaatey hain aur yeh Ishwar kee dein, jo manav shareer hai, uska dharamyukta istemaal na karke atmahatya jaisa paap karma karte hain to iska matlab yeh hua ki hamne Ishwar kee yeh sundar den thukra dee aur Ishwar ko naraaz kiya. Issey to, karza aur pareshaniyon mein bhi zinda rehney wala Mirza Galib hee achchha tha, jo keh gaya:-
‘Mujhe kya bura tha marna,
Gar ek baar hota.”
Yahaan Galib keh raha hain ki Pareshaniyon se ghabra kar koi marega to iska matlab yeh thodi hai ki weh pareshaniyon se azad ho gaya. Weh aur paapon ke saath is mahapaap ko bhi bhogega. Satya yeh hai ki hum sansari vastuyon aur maya mein phans jaatey hain, jo ki Raj, tam aur satva gunn se banee hotee hain aur sadaa vishaye vikari aur dukh dene walee hain. Inka istemaal to vedic bhakti karne ke sath-sath tyagpoorvak kiya jaata hai tab yeh vastu sukh detee hain anyatha nahin detee hain.
J: Acharya ji, pranam meri 2 betiyan 6 and 9 yrs ki hain apki kripaSe main inke sanskar karana chanta hoon kya yahan mere Lucknow mein koi acharya hain jo vedic tarike se sanskar kara dein.ya phir apke vvahan ye ho sakta hai.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my son. Lucknow mein yadi aap Arya Samaj Mandir mein jayein to wahan ke purohit vedon ke anusar aapkee betiyon ke sanskar kar dengey. Mera aapko aur apkee betiyon ko bahut ashirwad.