Virendra Kumar: Pranam swami ji, Mahabharat ka yudh kha hua tha swami ji?
Swami Ram Swarup: Mahabharat ke yudh aaj ke Haryana ke Kurukshetra shaher mein hua tha.
Kaya: Pranam swami ji, my question is all about on moksha kya moksha permanent nahi hai? Agar haa to aisa kyun agar koi atma wapas ana hi na chahti ho is sansar me to wo kyun janam legi aur geeta me bhagwan ne khud kaha hai ki janam maran ke bandhan se wo hamesha ke liye apne bhakta ko chutkara dilate hai phir in sab ka real meaning kya hai?
Swami Ram Swarup: Moksh, permanent nahin hota, yeh Ishwar ka niyam hai. permanent moksh ho to srishti ek din khali ho jayegee. Sabhi atmayein (jeevatmayein) Ishwar ke aadheen hain. Janam leine ya na leine kee marzee atmaon kee nahin hotee. Ishwar ke niyam mein karmanusaar janam aur mrityu aanee hee hotee hai. Aisa socho ki yadi kisi apraadhee ko court mein jail ho jaye aur who apraadhee kahe ki main jail mein jaana hee nahin chahta toh yeh kaise ho sakta hai. Usey toh police zabardastee bhejegee hee. Isee prakar Ishwar ke niyam se janam-mrityu aatey hain. Geeta mein theek hee kaha hai lekin jab koi Vedonn ka adhyayan karke Geeta padega toh weh hee kewal samajh payega ki Bhagwan ka bhakt jab Ved ke anusaar Shubh karma, yajyen, Yogabhyas aadi karta hai aur is prakar Nirakaar Parmeshwar kee Pooja Vedon ke anusaar karta hai toh ek din weh vairagyavaan Samadhi avastha ko prapt hokar Ishwar ko prapt kar leita hai aur is prakar Ishwar us sadhak ka janam marann mitaakar moksh de deita hai.
Vishnu: Swamiji pls explain the meaning of Rig Veda 4:17:16 mantra. I heard it says Indra gives wife. I dont think its true. Please tell me the real translation.
Swami Ram Swarup: The meaning of Rigveda mantra 4/17/16 is this that oh! Men, just as we desire to get cows, horses, knowledge, food grains and women and to get happiness, we take shelter of father and mother and to go before the warriors/king for our protection; similarly we should make them available for others.
Idea of the mantra is those who desire the happiness and glory, they should take the shelter of king as a friend.