Anonymous: नमस्ते गुरुजी क्या वृहदआरन्यक उपनिषद में मिलावटी हुआ है. वेद को छोड़कर सनातन धर्म के कितने ग्रन्थों में मिलावटी हुआ है.कृपया शंका का समाधान करे. धन्यवाद.

Swami Ram Swarup: Aashirwad beta. Vedon ko chhodkar lagbhag sabhi hamare granthon mein milawat bhar di hai jis se hamari vedic sanskriti nasht ho jayein aur ham agyani ban jayein, ityadi. 

RM: Namaste gurujii 🙏

I want to learn asana and pranayam from you. Kindly guide me.

Swami Ram Swarup: My blessings to you. Beta you will have to come here in Ved Mandir to learn the asan, etc.

Shahbaj: Jab aap log maante ho ki ishwar ek hi hai uske jaisa koi dusra nahi hai to fir aneko bhagwano ki murtiyo ki puja kyu krte ho?

Swami Ram Swarup: Vastutah Satyug, treta, Dwapur yug beet jane par, yeh vartman mein kaliyug chal raha hai, pichhle teen yugon mein to janta kewal ved marg par chalti hui kewal ek hi Parmeshwar jo nirakar, sarvyapak evam sarvshaktiman aadi kai anant gunon se yukt hai aur jin gunon ka varnan kewal Avinashi ved vani mein hi milta hai, is Parmeshwar ki hi vedanusar pooja karti thi, us samay sansar mein anay dharam ki pustak nahi thi. Haan, Manusmriti evam Valmiki Ramayan ka to varnan milta hai jo purantah sanskrit bhasha mein hain aur ved gyan par ashrit hain. Kaliyug ke prarambh mein kai karanon se charon vedon ka gyan lena samapt prayah kar diya gaya. Pichchle do-dhai hajar salon ke andar manushya ne apni ichchanusar ved virudh naya-naye bhakti ke marg bana liye, yahin se hi ek Ishwar ko chhodkar kai ishwaron ki pooja prarambh hui hai jo praja ke hit mein nahi hai.