Ritesh: Pranaam Guruji.
1. Yaj aur Agnihotra mein agar hum apne liye ya parivar ya fir kisi aur k liye agar koi kaamna / kaamnayen karte hain, toh kya vah Yaj athva Agnihotra tabhi bhi nishkaam / niswaarth karm mana jata hai?
2. Kaamnayen sirf Yaj mein hee purna hoti hai ya Agnihotra mein bhi ho sakti hain?
3. Kya Yaj / Agnihotra mein kaamna dwara kisi ka prarabdh anusaar aaya hua dukh / peedha mitaya ja sakta hai?
4. Kya kaamna karne se Yaj / Agnihotra ka laabh ghatt jaata hai?
Swami Ram Swarup: 1.) Yadi hum achchi kaamna karte hain aur nisswarth karte hain to weh Yajyen swataha nisswarath/nishkaam hee hota hai.
2.) Kaamnayein Yajyen mein hee poorna hotee hai parantu yeh samajhne kee baat hai ki yadi insaan kewal agnihoitra hee karega to usey bhautik laabh ke atirikta adhyaatmik laabh na ke baraabar hee hoga. Kyunki yeh dekhne mein aata hai ki jo saadhak agnihotra karta hai weh apne Acharya ke paas jaakar Yajyen zaroor karta hai aur laabh prapt karta hai.
3.) Apne karmon ka phal nashta karne ke liye manushya ko swayum Yajyen karna hota hai.
4.) Kaamna karne se Yajyen/agnihotra ka laabh nahi ghatta kyunki weh kamana shubh hotee hai.
Sri: Pranaam Guruji. Sure I will purchase your book on Gayatri. Thank you for the information.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. On receipt of your postal address, the books will be sent to you, please.
Rishabh: Swami j very thanks to you. I love your bhajans as they contains good message for refinement of consciousness.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my son. If you have interest in Vedic literature, I would advise you my son to read some of my books written on Vedic literature. List of books is is here.
LD: Thank you swami ji. Thank you very much. Pranam.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my son.