Anonymous: Pranam guruji mera Prashn yah hai ki manushya jab kisi paristhiti me decision leta hai to Wah poorv karnmo ke anusaar leta hai ya Ishwar use Gyan dete hai. Mera dusra prashn yah hai ki pati -patni ka rista karmo ke anusaar Banta hai ya hamara decision hota hai. dhanyavad guruji🙏
Swami Ram Swarup: Jab bhi manushya kisi bhi paristhiti mein decision leta hai yadi usey ved ka theek tarah se gyan nahi hai Vedic sadhna bhee nahi hai tab to weh decision uskee swayam kee buddhi aur mann se liya hua decision hota hai. Pati-patni ka rishta Vedic shubh karmon ke aadhar par pavitra rishta banta hai jo moksha kee prapti bhee kara deta hai. Yadi koi bhee paksha ved virudh ho tab dukh utpann hote hain.