MS: Pranam Swamiji kripa karke mujhe samisti aur vyasti kya hai inka meaning samjha dejiye. DhanyVaad.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, beti. Prakriti se srishti kee rachna hotee hai aur srishti ko hee vyashti athwa samashti kehte hai. Vyashti ka bhaav hai prakriti se srishti banker iska phail jaana aur samashti ka arth hai- ek jaise angon ka samooh. Bhaav hai ki prakriti ke teenon gunon ka samooh hee srishti hai.
D S S: Guriji ko Mera dandwat charn sparse. Guriji main apne margdarshan ke liye milana chahta hun apki swikrti chahta hun shesh Milne par. Apka shisya. DSS
Swami Ram Swarup: Mera tumhein ashirwad, beta. Han! Beta, aap jub chahe, mere paas ved mandir me aa jayein.