Sapana: Sadar pranam guruji, mera prashn shayad achha na lage par mere mann me dwand chal raha hai. Ek taraf hum kehete hai ki law of karma hai jisme aapne jo bhi bure karm kiye hai uska phal aapko bhugtana padega…jab hum charity karte hai, jaiseki suppose bhikhari ko khana khilaya to aisa nahi hai kya ki bhikari apne karmo ki saja bhugat raha hai . Jis wajah se wo is haal me hai. Uski kisi purv karm ki galati ki saja wo bhugat raha ho . To aiseme mera use charity karna kya uske karm phal ke aade nahi aayega..maine dekha hai bahot bar jab hum kisiko help karte hai to wo hamari help ko granted lete hai..unhe koi gratitude nahi hota hai ya apne karmo ka koi pachhatava nahi hota hai na hi dusare ko madad karnw ki bhavna.to aise logoko kya charity ya help karni chahiye? Muze charity kise aur kyu karni chahiye ye abhibhi samaz nahi aa raha. Please muze guide kijiye.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, beti. Beti, aap theek keh rahee hain kyunki vedon mein Bhagwan ne bhikareeyon ko bhiksha dene ko manaa kiya hai. Vedic sanskriti mein dukhi par kewal karunna karne ko kaha hai aur paapiyon kee upeksha karne ko kaha hai. ( Yog Shastra sutra 1/33 refers.) Bhiksha vritti desh ko barbaad kar rahee hai kyunki sukh-dukh ka karann pichchley janmon mein kiye hamare paap-punnya karma hain, jinhein hum is janam mein bhogne aaye hain. Rigved mantra 10/135/1,2,3 mein Ishwar ka updesh hai ki ya to apne karmon ko bhogo ya phir ved ke gyata vidwanon ka sang paakar unkee vedic aagya anusaar purusharth karte hue yajyen aadi karke dukhon ka naash karo. Isliye bhiksha dekar hum swayam paap karma karke paap bhogne ke bhaagi bante hain.

Daan ke vishaye mein Vedon ne yahee kaha hai ki sirf Rishi-Munis jinhone ved marg par chal Ishwar ko prapt kiya, indriyaan sanyam karee, yogabhyaas aadi kiya hai, paap karma se door hue hain unhe hee daan do anyatha iske vipreet daan dene se daani is vartamaan janam mein barbaad ho jaata hai aur daan lene wala agle janam mein barbaad ho jaata hai. Yeh vichaar Manu smriti mein Manu Bhagwan ne kaha hai aur is se related parmaann mein anek ved mantra bhi hain.