Rajat: Guru ji parnaam. Main Punjab ka rehny wala hoon. Yaha par Kafi Guru(Baba) hain jo Satsung krte hain. uh khass Words japne bolte hain. Wo kehte hain k Is naam ka jaap hi ap log moksh prapt honge. Or wo swarg se aage jane ki baat krte hain sab devi devta Brhma,vishnu,krishan,shiv Sab Raste me khade hain ain k hum le jao. Kya ye sach ho skta h. Kya wo v Insaan ka znam lena chate hain.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Sachchai to yeh hai jo Sri Ram, Sri Krishna Maharaj, Rishi-muni, Rajaon-prajaon ne anadikaal se apnayee. Is sachchai ko ved kehte hain. ved ka gyan har srishti ke arambh mein Ishwar se nikalta hai aur rishiyon dwara manushya jaati mein phail jaata hai. Ishwar yeh gyan manushya jaati ko deta hai kyunki us samay Hindu, Muslim, Sikh, Christian etc. yeh mazhab nahi bante. Mahabharat yuddh lagbhag sadhe paanch hazar varsh pehle hua, tab se vedon ke gyan ka soorya chhip gaya aur agyaan roopi andhkar prithivi par phail gaya. Phir do-dhai hazar varsh ke andar manushyon ne swayam naye naye mazhab bana liye. Pooja path mazhabon tak hee seemit rehta to bhi manavta ka thoda bahut kalyaan hota rehta. Phir aur kayee mat ban gaye aur aaj kal tatha-kathit sant bhi bahut ban gaye hain. Kayee jo apne aapko bhagwan kehte hain. Kayeeyon ne samaj mein paap karma bhee phaila diye itiyadi aur ved marg chhod kar aaj insaan tarah tarah kee Pooja karke bhee dukhi hain. Ved shastron mein aisa kuchh bhee nahi hai ki koi naam japta ho aur Shiv, Brahma, Vishnu aadi raste mein khade hon. Yeh sab ved ke khilaf hai. Jo isey manta aur manvaata hai, weh unkee apnee marzee hai. Ismein kuchh nahi kaha ja sakta.
Jugalpreet: Sat sri akal maharaj ji. Apke charno me koti koti pranaam. Maharaj ji kya hum ishwar ko mummy bol skte hai? Jb mai unhe ishwar ya parmatma bolti hu to bht paraya sa lgta hai. Or jb unhe maa ya mummy bolti hu to lgta hai vo hi hai sb kuch meri. Mai akeli nhi hu. Or dil krta hai pura din unse beth kr baaten krti rahu. Kya ye thk hai?
Swami Ram Swarup: Sat Sri Akaal, beti. Ashirwad Beti. Aapka naam Jugal preet hai to kya aapka naam badal kar koi Jasveer bole to sachmuch mein theek nahi lagega. Vedon mein Ishwar ke alaukik naam hain aur harek naam ka arth hai. Jaise Ishwar ka naam hai – sansar kee rachna karne wala, Parmatma ka arth hai sabse uttam atma jiske saman aur doosree atma nahi hai. Satnaam ka arth hai- jo pehle bhee tha, ab bhee hai aur age bhee rahega, ityadi. To jiska jo naam hai, wahi naam bolna uchit hota hai. Ishwar ka naam mummy kehne se koi arth nahi banta, kyunki Ishwar mata ke saman hai par mata hai nahi, isliye usey maa ya mummy nahi kaha ja sakta. Han! Aap baatcheet mein keh sakte ho ki Ishwar meri maa ke saman hai.