Vishal: Namaste Guruji, You focus very on study of Veda to realize God. But I like to know how Nanak, Kabir, Ravidas realized God without studying Veda? How they got enlightened without knowing Veda?
Swami Ram Swarup: Namasteji. All the said dignitaries are most respectworthy and spread their good preach amongst the public to promote brotherhood and do name-jaap of God. No more comments please.
Jugal: Sat sri akal maraji.. apke charno me koti koti pranaam.. maraji mera akele rehne ka man krta hai.. kisi se bhi baat krne ko dil nhi krta.. aisa lgta hai jo bhi mai dekh rhi hu sab jhut hai… Ghar me bhi mum dad se baat krne ko dil nhi krta.. agr mai mum ki help nhi karwati is vjh se to kya ye galat hai.. mum kehti hai ye humara dharam hai use pura kro.. but mera akele rehne ko hi man krta hai.. mujhe kuch smjh nhi aarhi kya sahi hai or kya galat.. please guide me
Swami Ram Swarup: Sat Sri Akal beti, sukhi raho. Akele rehne ko yadi dil kare to koi buree baat nahi hai balki achchee hee baat hai. Jinda rehne ka ek yeh bhee niyam hai ki hum har samay shubh karma karne ke liye mehnat karte rahein aur ek kshann bhee bekar na karein, vedon mein kaha hai jaise yadi nadi behtee chalee jaatee hai,ruktee nahi, isee tarah manushya mehnat karta jaye aalasya mein phanskar bekar na pada rahe. Doosree baat yeh kahee hai ki mahushya ko ghode kee tarah mehnat karnee chahiye, ityadi. Bhav yeh hai ki aap chahe ekant mein hee raho par us ekant mein mann ko ekagra karke rakhein. Man kabhi koi buree baat na soche, paap se door rahe, gharke karya, padai likhai ke karya aur Ishwar bhakti ke karya mein sadaa lage raho. Lekin mata-pita kee sewa karna to sabhi Rishi-muni, santo ka aadesh hai. Isliye mata-pita se theek bartav rakhein aur unka kehna mane, yeh bhee Ishwar bhakti hai. Is baat par to aap man ko kabu rakho aur mata-pita kee agya mein raho. Yeh dharma nibhana hee padta hai. Mera aapko ashirwad beti.