Anonymous: Swami jee charan sparsh karta haun? Manu smriti mein likha hai ki elder brother ki patin guru ke saman aur chote bhai ki patni daughter in law ki tara hoti hai? Swami jee to aap batyein fir uses vivah aur niyoga kasie possible ho sakta hai? Emergency ka matlab ye thodi hai ki banda maryada bhul jaaye. Dhanyvaad
Swami Ram Swarup: Mera aapko hardik ashirwad. Kripya Manusmriti ka weh shloka bhejein jismein bade bhai kee patnee ko guru aur chhote bhai kee patnee ko daughter-in-law kee tarah bola gaya hai.
Pankaj: गुरु जी के चरणों में शत शत प्रणाम, गुरु जी आज मेरी शादी की वर्षगांठ है। हम दोनों आपके बहुत बहुत आभारी हैं जो आपने सदा अपना आशीर्वाद हमारे परिवार पर बनाये रखा। कृपया हमारे परिवार पर सदा अपना आशीर्वाद बनाये रखें। आपका शिष्य पंकज
Swami Ram Swarup: Aapkee shadi kee shubh salgirah par mera aap donon ko bahut bahut ashirwad, aap donon sadaa sukhi raho.