Anonymous: Swami Je pranam karta hun charan sprsh swami Jim key pap ka praschit ho skta hai? agr Han to manushya key bar bar paap Karen ke baad praschit Karen skta hai ? Konse pap km key praschit hai ye kahan likha milega
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Han! Har paap karma ka prayashchit hota hai agar insaan ved aur yog vidyaa ke gyata vidwan ke ashraye mein rehkar ved marg par chalta hai. Phir jub weh prayashchit karta hai kisi paap karma ka tub weh pratigya karta hai ki weh paap karma dobara Jeevan mein nahi karega. Prayashchit ka matlub hee yahi hai ki weh us paap karma ko dubara nahi karega. Yeh Yajurved ke mantra mein likha milta hai.
Anupam: गुरुजी सादर प्रणाम।गुरुजीआजकल चल रहे यज्ञ मैं आप यजुर्वेद के मंत्रो का अर्थ बता हम सभी का ज्ञानवर्धन कर रहे है।आपका बहुत धन्यबाद।ईश्वर आपको चिरायु करे आपके द्वारा ही मुझे सत्य ज्ञान समझ आया।मुझे दोनों समय हवन करना बहुत अच्छा लगता है।गुरुजी किसी आर्यसमाज को मानने वालों ने मुझे बताया कि शाम के हवन मैं सूर्यो की जगह अग्नि शब्द बोलकर आहुति दी जाती है तो गुरुजी प्रातः कालीन कुछ मंत्रो मैं तो सूर्य शब्द ही आता है तो क्या सायंकालीन हवन मैं प्रातःकाल के मंत्रो को नही बोलना चाहिए।गुरुजी योगाभ्यास के पालन हेतु मन की एकाग्रता बढ़ाने के लिए क्या करना चाहिए।कृपया मार्गदर्शन करें।गुरुजी आप मुझे दवा कब तक भेजेंगे।गुरुजी मुझे vedas a divine light पुस्तक के सभी पार्ट मंगाने है।कृपया वे भेज दे।
Swami Ram Swarup: Blessings beti. Yadi prataha kaal havan hota hai to sub mantra wahee honge. Ek mantra hoga- Suryo Jyotir……. Ityadi aur jub sanye kaal havan karoge toh suryo jyotir….. ka uchcharann na karey. Iskee jagah agnir jyotir… bole. Parantu jo sanye kaal havan nahi karta, weh prataha kaal suryo jyotir kee aahuti bhi de aur agnir jyotir kee bhi aahuti de.
Nitya naam japne aur Indriya sanyum par adhik se adhik dhyan dene se mann kee ekagrata badtee hai. Anupam beti, dawa toh hum 3-4 din pehle courier se bhej chuke hain. Theek hai beti Vedas- A Divine light bhijwaate hain.