SS: Maharaj ji pranam. Mujhe aap se ek qus puchena hai. Maharaji ravan to visye vikari tha. Fir wo yodha kaise. Kyuki useme to bramchrye tha nhi bilkul bhi. Fir wo kaise lakahman ko ghyal kr skta hai.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Yeh satya pichchlee katha mein siddh ho gaya tha ki Sri Ram ne bhi unhe balwaan aur uttam yoddha kaha tha aur Valmiki ramayan mein yeh bhi kaha ki weh Indriya sanyami bhi tha. Sri Ram ne to yahan tak kaha ki weh dev yog se hee mara gaya anyatha usko marna kathin tha aur usne apnee veerta ka pramaan yeh diya ki uske teeron kee varsha se vanar sena dar gayee thee aur vanar sena ko bahut nuksaaan uthana padaa tha aur vanar sena ke bade-bade yodhaon ko Ravann ne maar diya tha. Mahabali Laxmanji ko bhi unhonein lagbhag mrityu tak pahuncha diya tha aur Sri Ram unhein maraa samajhkar ro rahe the. Yadi us samy wahan par Vaidyaraj Sushein ne acchhee chikitsa na kee hotee to bahut mushkil ho jaata.
Anupam: गुरुजी सादर प्रणाम।गुरुजी आपसे मिलने वाले उत्तरो व प्रवचनों से सत्य को समझने मे बहुत सहायता मिलती है।गुरुजी आपसे ज्ञान प्राप्ति होती है आजकल वैदिक चैनल पर भी सुनती हूँ पर फिर कुछ प्रश्न मन मे उठते है वे लोग कई ऐसे विद्वानों को निमंत्रित करते है जो वेद व उपनिषदों के साथ पौराणिक ज्ञान के भी समर्थक है ऐसे मैं कंफ्यूज़न होता है कि सत्य तो एक ही है फिर क्यो न केवल वे उन्ही विद्वानों को आमंत्रित करे जो केवल वैदिक ज्ञान के ही समर्थक हो पौराणिक के नही ।गुरुजी सत्य तो तभी स्थापित हो पायेगा न।
Swami Ram Swarup: Blessings beti. Aap ka kehna theek hai beti. Parantu yadi satya, asatya dono vartaalaap hon aur dono vartaalapon ke base par yeh siddh kiya jaye ki kewal ved hee satya hai tub zyada achcha hai. Log satya ko sunkar satya jaane aur asatya ko sunkar yeh jaane ki yeh asatya hai, tub zyada achcha hai.