T: Swami ji parnam.ager wife roj havan karti ho.sube late7am ka bade utti ho gare mai SASE sasuer ki koi ejate na karti ho.Gandhi -galia dating ho .pati ko bahut tang karti ho.use apne mata- pita ka pass Jana she rokti ho.or apne mata pita ke batea sonke gar mai Kalesh dalti ho .Use she kase neptana chahiay.Jo payer she na samjeti ho.galia Dane par many USA do salap. Bhi lagay par koui aser nahi.ulta muja darati hai.main use kaha 10 am Havana mat kara kar jaldi kiay kar or ajtake tune kay sika to or galiya dati hai .serf TV dakti hai orapne11am ;4pm;10pm; khana khati hai uski paresani ma Mani but galte kam kiay.bho mujahchodana bhi nahi chahti.orKahi Santi she na jite hai na jenadati .hai mai patentes ko nahi chodsakta.had jaga kalase karti hai.Kay ye made Karen hai muja Kay karana chahiay.Mara mareg daresan Karen sawami ji ma kai bare susiced ki socha choka hoon.
Swami ramswarup: My blessing to you. Ved ka updesh to yahi hai ki jaise Ishwar shuddh hai aur paap se pare hai waise hee ved marg par chalne wale sadhak bhi tan aur mann se shuddh aur paap karma se parey ho. Agnihotra rozana karne se jahan agnihotra karne ka punnya prapt hota hai waheen paap karne se paap ka phal dukh bhi prapt hota hai. Kiya hua karma mithya nahin jaata, paap karoge to uska phal Bhagwan dukh dega aur punnya karma karoge to uska phal sukh ke roop mein dega. Parents ko to kabhi nahin tyagna chahiye. Parents kee to sewa karna dharma hai. Doosra, suicide karna to mahapaap hai hee, suicide ke baare mein sochna tak mahapaap hai. Is vishaye mein mera article is prakaar hai-

SUICIDE

Yajurved mantra 7/48 ke anusaar hum jeevatmayein manushya kee yoni mein aakar paap athwa punya karma karne ke liye poornataha azad hain parantu hamare kiye hue karmon ka phal kramshaha dukh evam sukh ke roop mein Parmeshwar deta hai. Artaht karmaphal hamare haath mein nahin hai. Doosra Rigved mantra 10/135/1,2,3 ka bhaav hai ki Parmeshwar nein hamein manushya ka shareer pichhley janamon mein kiye hue paap aur punnya karma ka phal dukh aur sukh ke roop mein bhogne ke liye diya hai aur ab jo paap aur punnya karma kareingey uska phal agley janamon mein bhogeingey. Bhaav yeh hai ki atmahatya ek mahapaap hai isliye jo atmahatya roop paap karta hai, weh bhi janam lekar avashya is paap ko mahadukh ke roop mein bhogega hee kyunki yeh Ishwar ka banaya hua srishtee ka niyam hai. Aur woh janam Rigved mantra 10/51/3 ke anusaar manushya ke shareer ka nahin hoga apitu kutta, billi, gadha, ghoda, saanp, bichchhu athwa keet patang ka shareer wala hoga.

Asal mein to Ishwar nein hamein manushya janam vedic sadhna karke Moksha prapti ke liye diya hai yadi hum vishya-vikaron mein padkar shareerik aur mansik pareshaniyon ka khud shikaar ho jaatey hain aur yeh Ishwar kee dein, jo manav shareer hai, uska dharamyukta istemaal na karke atmahatya jaisa paap karma karte hain to iska matlab yeh hua ki hamne Ishwar kee yeh sundar den thukra dee aur Ishwar ko naraaz kiya. Issey to, karza aur pareshaniyon mein bhi zinda rehney wala Mirza Galib hee achchha tha, jo keh gaya:-

‘Mujhe kya bura tha marna,
Gar ek baar hota.”

Yahaan Galib keh raha hain ki Pareshaniyon se ghabra kar koi marega to iska matlab yeh thodi hai ki weh pareshaniyon se azad ho gaya. Weh aur paapon ke saath is mahapaap ko bhi bhogega. Satya yeh hai ki hum sansari vastuyon aur maya mein phans jaatey hain, jo ki Raj, tam aur satva gunn se banee hotee hain aur sadaa vishaye vikari aur dukh dene walee hain. Inka istemaal to vedic bhakti karne ke sath-sath tyagpoorvak kiya jaata hai tab yeh vastu sukh detee hain anyatha nahin detee hain.

Isliye aap Rishtedaron ko ikatha karke, buzurgon ko ikatha karke unke saamne apnee baat rakho jisse weh aapkee patni ko samjhayenge.

Puneet: Swami ji rigveda 1/124/7 ka artha batyenge zara ? isme aisa kyun kaha ki “bina bhai wali stree” is ka kya malt hai?? mantra kehna kya chata hai “bina bhai wali stree” ke bare mein ?? kahin property related issue to nahi? ki agar ladki ka bhai naa ho to sari property uski??
Swami Ram Swarup: Bharat varsh Rishi-muniyon aur rajrishiyon aur ved ke gyata grihasthiyon kee bhoomi raha hai. Mahabrat kaal tak yahaan ghar ghar ved vidya goonjati thee. Isliye bhranti yukta prashan nahi kiya jaate they. Aaj vishwa mein evam Bharatvarsh mein vedon ka adyayan smapt prayaha hai, anyatha yeh to vedon se spasht hai ki Ishwar kisi se bhi pakshpaat nahi karta aur property aadi ke chakkar se nikalne ka updesh deta hai, property aadi mein ghusne ka updesh nahi deti. Jaise Yajurved mantra 40/2 main kaha “Ten Tyakten Bhunjeetha”
Arthat is maya ka prayog tyagpoorvak karo. “kasya Swidhddhanam”
Arthat yeh dhan, maya, parivar aajtak kisi ka nahi hua.

Vedadhyayan mein aayee kami ke karann hum Us sarvashaktimaan, srishti rachyita Parmeshwar ko nahi jaan paate.

Rigved mantra 1/124/7 mein alankar hain. Isee alankar mein yeh bhi arth hai ki jaise bina bhai kee kanya apne pati ko prapt hotee hai tatha sukhee rehtee hai usee prakaar yeh prataha samay kee vela bhi hai.

Prataha kaal kee vela sabhi ke liye sukhdayak hai. Isee prakar pratyek istree, chahe uska bhai ho ya na ho weh samaan roop se apne pati ke liye sukhdaayak hai aur saas-sasur, nanad, devar aadi parivar se achchha vyavahaar aur unkee sewa karke pratahakaal kee vela ke saman sabko sukh detee hai. Atah pakshpaat to manushya kee kubuddhi kartee hai. Ishwar ek alaukik shakti hai aur kisi ke sath bhi pakshpaat nahi karta.