Abhishek: Namastay guruji, Hindu dharam main 4 ved hain. kaun se ved main prajannan ke bare main jaankari dii gayi hain please mujhe batayein.
Swami Ram Swarup: Namasteji. Pratyek ved mein yeh gyan diya gaya hai aur subject lengthy hai, isliye hum yahaan se likh nahi sakte.
SS: Guruji ko saadar pranaam.main pahle bhi eesi silsile mein prasn puuche the.ab hamare sasur 96 yrs aged death bed par aa gaye.aur main 35 saal se uunki sewa karye karte blood pressure jo puuri zindagi low raha ab high ho gaya.hum log retired hokar india waapas aa gaye.husband ki uumr 60 aur meri 57 hai.hum log apna kartavya ab tak nahi bhuule guruji.mera ab bhi wahi sawaal hai ki eetna educated aadmi niyam se rahne wala samaaj aur pariwaar ki misaal ban kar rahne wala vyakti ko ye kyu nahi dikhta ki uunke bachhe ab uunke chalte suffer kar rahe?kya mrtyu ka bhaye eetna hota hai ki beta bahu marr jaay par hum jeevit rahe? Ye kya aatma ki aawaaz hoti hai ya apne ees sharir ka swaarth? Kya cheez ees sharir ko baandhe rakhta ees prtthwi par?main bahut sochi par jawaab nahi miltaagar aapko lagta hai ki ye jawaab dene laayak question hai tabhi jawaab dijiyega guruji.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, beti. Aapke sasur kee aayu Ishwar kripa se bahut achchhee hai. Buzurg ghar mein rahein aur unkee sewa chaltee rahe tabhi grihasth ashram phalta-phoolta hai. Beti, sewa nihswarath hotee hai. Yadi main kabhi moonh se keh baithoon ki maine apne pita kee sewa 25 saal kee to woh sewa ka punnya khatam ho jaata hai. Isliye ahankar abhimaan aur lobh chhod kar buzurgon kee sewa jub nihswarath kee jaatee hai tub hee khud ba khud Ishwar kripa karta hai aur sewak ko sukh deta hai. Sewa isliye kathin hotee hai kyunki buzurg bachchon jaise vyavhaar karne lagta hai, zid karta hai, beemari se tang aakar chidchida ho jaata hai, kuchh kuchh kehne lagta hai, tub ghar ke sadasya uskee sewa se jaan chhudate hain, sewa nahi karte. Isey hee paap kehte hain. Aap apne sasur kee sewa kartee rahein. Ishwar aapko sukh dega.
Baaki jo baatein beti aap keh likh rahe hain, woh mujhe samajh nahi aayee. Aap dobara vistaar se likhein.