Anupam: Swamiji pranam yagya karma namak pustak ke page 37 perek line hai brahma ke putra virat,virat ke putra manu —–.yaha brahma v anya kaun hai .
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. Srishti ke arambh mein chaar Rishiyon ke andar Ishwar se utpann ved ka gyan prakat hota hai. In chaar Rishiyon kee sewa karke Brahma namak Rishi chaaron vedon ka gyan akele hee prapt kar leta hai. Isliye uska naam Brahma kaha hai. Yeh Vedic niyam aaj bhi laagu hai aur sadaa rahega ki aaj bhi jo koi Charon vedon ka gyan jo koi bhi prapt kar leta hai usey Brahma ka pad prapt ho jata hai, usey Brahma kehte hain. Brahma se aagey Viraat ne gyan liya aur Viraat se aagey Manu ne gyan liya ityadi.
Anupam: Guruji pranam. Vedo me vishnu or shiv ka prayog kya bhagwan ke guno ke liye hua hai.saraswati ka arth vaani hai to ganesh sabda ka vedo me kya hai.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. Jaise maine upar kaha divya gunnon ke adhaar par Ishwar ke anant naam hain. Vishnu ka arth sarvvyapak hai isliya Vishnu us ek sarvvyapak Ishwar ka naam hai. Shiv ka arth hai Kalyaan karne wala. Ishwar ann-dhan, shareer, parivaar, prithvi aadi dekar, sansaar rachkar sansaar kee raksha karta hai. Isliye Ishwar se badkar sansaar mein koi doosra aisa nahin hai ki weh sansaar rachkar, sansaar kee rachna, paalna aadi karey. Isliye Ishwar ka naam Shiv bhi hai aur Gan+eesh, issey Ganesh banta hai arthat jo Shakti vishwa kee janngannna ke shareeron ko rachne walee aur sansaar ko rachney walee hai, uska naam gannesh hai arthat is prakaar Ishwar ka naam Gannesh bhi hai.