Vandana: Guru ji pranaam …kha jata h ki eesvar ki ichcha ka bina ek patta bhi nhi hilta h …or aisa mai bhi manti hu lekin mujhe ek baat samajh me nhi aati h ki to fir jo bure karm hamse paristhiti vas ho jate h vo bhi kya esvar ki ichcha se hote h or agar aisa h to fir us bure karam ki saja hme kyu milti h…..or kuch log ye bhi kahte h ki karm karne ke lie manusya svatantra h …lekin agar unki ichcha bina ek patta bhi nhi hilta h to hm unki ichcha bina kuch bhi kaise kr sakte h …chahe vo achche karm ho ya bure?
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. Beti, Ishwar kee ichcha ke bina ek patta bhi nahin hilta, yeh sach hai parantu iska bhaav jo hai weh koi ved vidya ka gyata hee jaanta hai, anya nahin. Jaise koi insaan paap karta hai to usey paap karma kee ijjazat Ishwar thode na deta hai arthat usne jo paap kiya weh Ishwar kee ichcha se nahin kiya. Apnee ichcha se kiya aur Ishwar ne paap athwa punnya karma karne ke liye azaad kiya hai, chahe woh punnya karma karey chahe weh paap karma karey lekin un karmon ka phal Ishwar kramshaha sukh aur dukh ke roop mein deta hai. Yaad rakho vedon mein kaha hai ki Ishwar kewal shubh karma karne kee prerna deta hai ashubh karma karne kee prerna nahin deta. Isliye Ishwar kee aagya ke bina patta bhi nahin hilta, ka ek to matlub hai ki Ishwar hum sab ka adhyaksh hai aur nyaya karta hai, isliye Ishwar ne jo vedon mein niyam banaye hain, unhee niyamon par insaan chale, niyam bhang karne se manushya ko Ishwar sazaa deta hai. Doosra arth yeh hai ki jub sansaar banta hai aur ped, paudhey, nadi, naaley, pashu-pakshi, manushya aadi ke sabke shareer ban jaate hain to weh sab sansaar ke padarth koi kaam nahin karte, na pranniyon ke shareer mein chetna aati hai, na vayu chaltee hai, na samudra ka paani chalta hai, na ped-paudhon ke patte hilte hain ityadi, sab padarth ek pathar kee murti ke samaan bina prannon ke hotey hain parantu jaise hee Parmeshwar sansaar ke kann-2 mein pravesh karta hai arthat Sarvavyapak ho jaata hai tub turant hee vaayu behney lagtee hai, ped-paudhon ke patte, tehneeyan aadi hilne lagtee hain, registaan mein dhool udney lagtee hai, paani behne lagta hai, nar-naari, pashu-pakshi mein chetna aa jaatee hai etc. To isee bhaav se kahaa jaata hai ki yadi sampoornna sansaar jad ban jaata hai, ek patta bhi nahin hilta aur isliye burey kaam karne kee prerna Ishwar nahin deta.
Anupam: Namastey guruji.shri ram ka janam5114ईसा पू.ka hai.balmiki ji ka janam ka samay mujhe nahi mila.aapne kaha dono samkaleen hai.balmiki ji kab paida huye the.guruji devthan ke din ke liye kaha jata hai ki vishnuji is din apni nidra se udhte hai atah is din se shadi vivah jaise sanskar shuru kiye ja sakte hai.phir kuch din vishnu ji cheer sagar me sote hai .tab sabhi subh karye nahi kiye jate.thithio ka jeevan me kua mahtava hai.jaise ekadashi astami navami.
Swami Ram Swarup: Namaste Beti. Sri Ram ji ka samay Ek crore, eighty one lakhs, forty nine thousand, seventy years pehle tha. Vishnu Ishwar ka naam hai, Vishnu ka arth hota hai Sarvavyapak aur Sarvavyapak ek Parmeshwar hee hai. Ishwar nirakaar hai, uskee indriyan nahin hotee, isliye Ishwar sota bhi nahi hai. Yadi Ishwar so jaaye to weh pranniyon ke paap aur punnya karmon ka sakshi bhi na banein, tab Ishwar manushyon ke karmon ka phal nyaya poorvak kaise dengey? Hamein aisee apramanik aur jhootee baton par dhyan nahin dena chahiye.
Ekadashi, Ashtami, navmi din Parmeshwar ke banaye hue hain isliye yeh sabhi shubh din hain aur yeh shubh din shubh karma karne ke liye banaye gaye hain.
Deepak: Please send me Manav Dharma Shiksha ., Vedic calendar.
Swami Ram Swarup: Book is being sent to you, please. Please confirm receipt.