Akshat: Swamiji Pranaam. Swamiji me ek student hu or mera question bi use se related hai. Swamiji me ek aisa vidyarthi Hu jise Science maths se kabi koi problem Ni hui mujhe sab aasaan lagta to hai lekin samay na dene ke karad mujhe padhai me pareshani jhel Ni padti hai. Ab aapko batata Hu Ki Mai samay kyu Ni de pata ..Pichle 2~3 years me Maine aadhyaatma pe kafi padhai Ki kyunki mujhe kafi interest hai or maine kafi gyaan arjit Kia halanki Vo naa ke barabr hi hai. To swamji problem ye hai ki abb ye baat mere smj me aagi hai Ki insaN ka janam lene ka uddeshya hi us aanand ka anubhav karna hai to ab mujhe hamari science Ki padahi vyarth lagti hai. Asan hai or kaliyuga me gujare ke liye zaruri bi hai lekin fir bi Swamiji mujhe smj Ni aata Ki kya kru. Padhai kru Ki kya kru….padhai krta Hu to us 10~12 hrs ke liye mera mnn busy rahta hai din me Baki samay vi jhallahat janjhanahat aashanti
Isiliye ekk baar uthjao padahi se to fir padhne la Mann bi Ni krta .Swamji mera margsarshan kijiye Ki bss Jo abb mere pas 3 mahine Bache hai unme me Mai pure bharamcharaya se padahai lrlu usle baad college me Jane ke baad sochunga Ki aagay aadhyaatma me kaya or kaise karna hai. me Hr 1~2 hrs padhai larne ke baad Om namaha shivaaye ka jaapa bi krta Hu. Mujhe ussey shanti ka anubhav hota hai or parubhu ko Bi yaar krleTa Hu…agr swamiji isme me kuch galat Kr rah Hu to batadijiye ga .
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Student hone ke naate beta aapka farz hai ki aap apnee padai par poora-poora dhyan dein aur kathin mehnat karein. Adhyatmik gyan ka uday Ishwar ne vedon mein kiya hai aur isko prapt karne ka tareeka student ke liye yeh hai ki weh kisi ved ke gyata vidwan ke paas chhuttiyon mein ek se dedh ghnate ke liye jaaye aur vedon ka gyan sune, samajhe aur acharann mein laaye. Jismein Ishwar ke naam ka rozana jaap, agnihotra aur halka yogabhyaas nitya karne ke liye bhi kaha hai aur rozana karna chahiye. Brahmacharya par bhi dhyan dena avashyak hi. Is se student ke character ka bhi nirmann hoga. Shareerik aur maansik shakti bhi badegee sanshaya aur vishyon ka bhi nash hoga aur adhyatmikwaad aur padai likhai mein bhi tarakki hogee. Parantu kewal adhyatmikwaad kee tarakki aur padai likhai par dhyan na dena ya kewal padai-likhai par dhyan dena aur adhyatmikwaad par bilkul dhyan nahi dena. Yeh sab vedon mein paap karma kaha hai. Isliye aap donon raston par chalkar tarakki karein.
Isee se manushya ka janam lene ka sundar phal arthat Ishwar prapti ka anand, prapt hoga.
Atah aap mata pita ko prasann karne ke liye bhi poore teen mahine din raat padai mein mehnat karke achchhey number lekar paas howein. Achchha hai vedanusar kewal OM ka jaap karein. shesh aapkee ichchha par nirbhar hai.