Sarjit: Swami ji agar koi insan bhagwan ki seva krta hai aur usse mandir mein koi paap ho jata hai janbujkar ya anjane mein to kya bhagwan uski us galti ko maaf krenge ya nahi?
Swami Ram Swarup: Sabse pehle to yeh baat hai ki jigyaasu yeh samajhe ki Bhagwan kisko kehte hain aur Uskee Pooja kaise kee jaati hai. Iske liye hamein ek vidwan ke ashray mein rehkar vedadhayayan kee avashyakta hotee hai. Doosra, paap chahe jaane mein ho ya anjaane mein Ishwar usey maaf nahi karta uskee sazaa deta hai. Han! Ved marg par chalkar jab koi ved mantron se rozana Yajyen karta hai aur yogabhyas aadi karta hai aur aisee avastha mein pahunch jaata hai ki weh sadhak banta hai aur paap karne laayak nahi rehta tabhi Ishwar uske paap kshma karta hai.
Satish: Om Namoh Narayan maharaj ji. Maharaj ji kripa karke mujhe aisa koi mantra bata deejiye jisse Kala aadmi gora ho sake. Mai aapka sada aabhari rahoonga.Om Namoh Narayan Maharaj ji.
Swami Ram Swarup: Mera aapko aashirwad. Aisa koi bhi mantra nahi hai jo kale insaan ko gora banaa de. Phir Ishwar rang bhed kee ijaazat nahi deta. Ashtavakra muniji kale rang ke they aur aath angon se tede they parantu Vedic gunnon tapasya aur Ishwareeya gyan prapt hone ke karann weh aaj bhi poojaneeya hain aur jab tak yeh sansaar rahega sadaa poojaneeya rahengey isliye rang, khoobsoorti ya badsoorti kee koi baat nahi hai, baat to gunnvaan hone kee hai. Pooja to gunnon ki kee jaati hai.