Deep: Pranam guruji. Guruji mai apse salvated souls k bare me janna chahatu. Guruji souls to formless hai magar salvated souls v kya formless hai? Kya salvated souls koi aakar dharan kar sakte hai apne ichanusar? Kya salvated souls kisike dream me as sakte hai? Kya weh aapse icha se Fir chahe to janam dharan kar sakte hai? Kya Krishna maharaj geeta ka path jaha hota hai waha moujud rahete hai? Ishwar to sarva byapi hai, sab jagah WO hai, to kya salvated souls v his jagah chahe present rahe sakte hai? Koi agar man se unhe smaran kare , e.g., Krishna maharaj or shri ram ji maharaj or hanuman ji maharaj, to kya WO us vyakti ki smaran karne ko eun sakte hai? Kya salvated souls v ashirwad de sakte hai? Souls ka to personal koi nam nahi hotat sirf identity hoti hai, magar salvated souls ko kya us nam se jis nam k sathe unhe salvation prapt hua tha , usi nam se smaran kiya ja sakta hai, jaise shri RAM, Krishna, hanuman ki etc etc.. Salvation paye hue mahapurush to god to apne heart me pa lete hai, to WO v to god k saman hue, not god but equal to god? To unhe v to smaran karke pranam karna ya respect show karna anti vedic to nahi hoga? Guruji kripaya mujhe bataye k soul and salvated soul ka antar kaha aur kya kya hai? Guruji ek aur prashna hai, guruji gayatri mantra me jab jap karenge to savitur ka actual pronunciation kya hota hai, ” savitur varenyam ” ya ” savitooh varenyam “?
Kripaya gurudev mera Marg darshan kare aur mujhe apna ashirwad deke mujhe dhanya kare..
Swami Ram Swarup: My blessings to you.
Mukta jeevatmayein bhi formless hee hotee hain parantu unkee swabhavik gyan indriyan hotee hain jisse weh moksh ka sukh bhogtee hain. Han! Mukta jeevatmayein apnee ichchha anusar koi bhi aakaar dharann karne mein smarth hain. Yeh us mukta jeevatma par nirbhar hai ki weh kisi ke dream mein aaye ya na aaye. Mukta jeevatma apnee ichchha se shareer dharann karke shareer ka tyag kar detee hain.
Nahin, yeh zaroori nahin hai ki Sri Krishna Maharaj jahaan Geeta ka path ho wahan maujud ho jayein, mukta jeevtama jahaan chahein Brahmand mein vichrann kartee hain.
Nahin! Mukta atmayon ka koi chahe jaise bhi smarann kare, woh nahin aateen. Nahin, woh ashirwad nahin detee. Nahin mukta jeevatma ko uske shareerik naam se smarann nahin kiya ja sakta. Han! Mukta jeevatma Ishwar ke samaan hotee hain parantu Ishwar nahin.
Jab vedon mein Ishwar aur jeevit acharya ko hee pranam karne ka, sewa karne ka niyam hai tub mare(dead) huyon kee pooja nahin kee ja saktee.
Sadharann jeev karam bandhan mein aur janam-mrityu mein aata hai, karmanusar sukh-dukh bhogta hai, parantu mukta jeevtama, yeh sub kuchh nahi bhogtee “Saviturvarennyam” correct pronunciation hai.
My heartiest blessings to you.