Gaurav: Sir main ye janna chahta hu ki maha mritunjay mantra ka jaap ek din me kitni bar krna chahiye 108 bar ya 1008 bar?
Swami Ram Swarup: Mantra mein “Vyam Yajamahe” pad aate hain jiska arth hai, Hey Prabhu! Hum tera Yajyen karte hain. Yajyen ka arth hai mata, pita, gurujanon aur buzurgon kee sewa tatha nitya dono samay ved mantron se agnihotra aur Yajyen karna, tatha vedanusar sabhi grihasth ashram ke shubh karma karna. Baki aap jaap karte hain to aap apnee ichchha ka jaap bhi karein.
Shubhangini: Pranam guru ji. Kya m kbhi thk ho skti hu m ek handicap hu per m thik hona chahti hu ap btay koi upay or mera future bhi kuch btay?
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter.
Beti mera to ashirwad aapke sath hai. Aap medical treatment shayad le rahee hongee. Agar medical advise mein aapko yeh surety detey hain ki aap theek ho jayengey tub to bahut hee Ishwar kripa hogee anyatha jo bhi haal mein Ishwar rakhey hum uskee Vedic upasana nitya karein aur uska dhanyawaad karein. Ajkal main bhi teen saal se beemari se joojh raha hoon aur bina sahare nahi chal sakta, parantu phir bhi isey Ishwar kripa hee maanta hoon kyunki mujhe Ishwar ne mere hee paap karmon kee sazaa dee hai aur isey mujhe khushi khushi bhogne ke aadesh vedon mein diya hai, maine teen saal mein kabhi bhi Vedic sadhna, yajeyn Vedic pravachan aadi se munh nahi moda, nitya updesh karta hoon, Yajyen karta hoon, uska naam leta hoon. Ek samay aisa aaya tha ki mere prannn nikalne ka samay tha aur us samay main khushi se prann chhodna bhi chahta tha lekin achanak Ishwareeya prernna yeh bhi hui aur maine Ishwar se waisee hee prarthna bhi kee Hey! Ishwar meri kuchh aayu aur badaa do jissey main abhi samaj mein Yajyen dwara Vedic updesh, Bhajan aur website par Vedic answer deta rahoon. Isee se beti aap prernna lo aur yeh jo Ishwar ne tumhein shareer diya hai isey shubh karyon aur nitya Ishwar ke naam simrann aadi mein lagao jissey agla janam manushya yoni mein uttam prakar ka prapt hoga.