Mona: My child doesnot eat from my hand and eat very less?
Swami Ram Swarup: A mother is an ocean of real love towards her children. So, please shower your love in loving mode when a mother will try to provide milk/food to her child then child would never ignore the same.
Secondly, medical advice is also required in this connection.
K: Pranam guruji maine aap ke bhut se qus ans pdi mujhe aur janena hai jb aapeko ghyan ke prapti hui. Aapko ksa feel huaa 19 march 1979 ko aapko gyan prapt huaa kya aapene usene bd vivah kiya? Aur aapene grahstashram me rheke kse brahmchrye me rhe. kya guruji bramhcharye me rheke uttam santane mileti hai kya ye sach hai?? guru maharJ kya aap ke santane bhi ase he hai.jaise ram hue?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Jo prashan aapne kiye woh Ishwar Prapti ke vishaye mein hain jiske baare mein discuss nahi kiya jaata. Doosra Brahmacharya ke bina Ishwar prapti nahin. Teesra main ek article paste kar raha hoon-
Jaise Ravanna ke Pita ek prasiddh Rishi they parantu Ravanna ne asuron jaise karya kiye. Yeh vartamaan kaal ved vidya se anjaan hai aur kisi bhi Yogi-Rishi –Muni ka beta ya beti, us Yogi ke aashrey mein nahi palte apitu vartamaan school, college jaana hota hai aur woh wahan ke atmosphere mein aise male aur female friends bana lete hain jinhein ved ka bilkul gyan nahi hai. Isliye Yogi ke beta-beti ke chitta par baahar ka prabhav zyada rehta hai. Doosra aaj adhiktar Yogi-Rishi-Muni ashram mein rehte hain to mera anubhav hai ki us ashram mein rehne wale kai vyakti bhi dagaabaaz, dhokhebaaz hotey hain jo Rishi-Muniyon ke parivaar ko galat raaste par chalaate hain. Kyunki weh Yogi to apne shishyon par vishwas karta hai parantu kai shishya apnee swarthpoorti ke liye Yogi se vishwas- ghaat karte hain. Yahi karann hai ki aaj yeh zaroori nahin hai ki Yogi ka beta yogi hee banega. Yogi kee usee santaan mein tej hota hai jo santaan Yogi kee agya aur updesh ka palaan kartee hai aur yahi niyam Yogi ke shishyon par lagu hota hai. Kyunki Yogi ke shishya bhi uske beta aur beti hee hote hain aur Yogi unka adhyatmik Pita hota hai.