Chaman: Pranam swami ji….agr bramhacharye ka oalan krene se achi santaan hoti h.. to fir rawan bhi to rishi ka putre tha .bhle mata raksas thi bt pita to rishi the..fir kse wi acha insaan ne bna.. agr kisi ke parents bhut ache ho.. bt beta buta ho.. tb guruji kamero ke saza kiseko mileti h bete ko ..ke wo bura kr rha h y fir mata pita ko..jo buta sahe rhe ho.. agr brahmcharye na manene wali nasa ldki aadi kaut wala beta ya beti ho.smjgene per bhi na mane to kya krena chiye..useka tayag?? Rishi me to sayam hota tha phele time me.. fir ku rawan ke pita kse bhul gye ye sbe…meri bhut icha h ye janene ke?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Bachpann mein baalak par jyada sanskaar mata ke hee padte hain kyunki mata hee baalak ko apnee goda mein zyadatar paaltee hai, bolna seekhati hai, doodh aur bhojan aadi detee hai. Doosra pichhley janmon ke sanskaar to hotey hee hain. Isliye Ravann mata kee dekh rekh mein zyada rehney ke karann rakshas vritti ka banaa aur kuchh uskey apney pichhley janam ke sanskaar aur galat society ka bhi prabhaav tha. Sab kuchh karmon ke adhaar par hee hota hai. Koi dukhi hai to yeh nahi hai ki poora dosh uskey bachchon ko hee diya jayega. Dukh to khud ke kiye janmon ke karmon ka phal hai. Isliye bachchon ne bhi usey dukh diya aur gyan bhi na honey ke karann dukhi raha. Yadi kisi kee unglee mein cancer ho gaya hai to baaki shareer bachaaney ke liye unglee kaat kar phainknee padtee hai. Isee tarah yadi kisi santaan se kul ka nash hota ho to kul bachane ke liye us santaan ka tyag karna zaroori hai.
Kamala: Maharaj ji ko koti koti pranam.. Aapeki site me bhut se swalo ke jawab mil gye mere…mera aur janene ke iccha bdi.. me aksar pda h agr koi pati patni ke sath bewfai kre to..Aap bolete ho patni ko aoene pyar se use bdalena chiye..isi ke jagah agr koi patni asa kre aao bolete ho useka tyag kre.. Jab vedo me beta beti saman h fir kyu hus wife ke liye rule alag ku?
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. Hamein yeh baat achchhi tarah samajh lenee chahiye ki Parmeshwar sab manushyon ka, nar-nari ka pita hai aur Weh sansaari pita nahi hai. Apitu Weh to vidwanon ka vidwaan hai, alaukik hai. Isliye usnein pakshpaat rahit kisi bhi bhed bhaav se rahit hee sabke liye ek samaan niyam banaye hain. Isliye sabse pehle chahe pati mein dosh ho chahe patni mein, usey aapas mein pyar se suljhane kee koshish kee jaati hai parantu yadi dosh gambhir ho aur koi samjhane par bhi na samjhe to ved us haalat mein pati doshi ho to pati ka tyag kiya jaye, patni doshi ho to patni ka tyag kiya jaye, aisee agya detey hain.