V: Pranam Gurudev, I’m a regular practitioner of Sandhya & Agnihotra. And also follower of vedic injunctions. I wish to know that shall I marry a girl who already had affair with someone and the boy deserted her. She suffered a lot for certain period and now recovered from all those by vedic advices. She do Gayathri Jaap regularly. Now what my question is that, I wish to marry that girl and live with her, according to the way of eternal vedas, shall I able to do that ? Please guide me.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. I appreciate that you daily perform Agnihotra. It is a real worship of God. It is upto you that you accept the girl and discharge your duties faithfully after marriage. You should be a good earning member to feed the requirements of your family.
Makkhan: Guruji ke charnoon main mera pranam. I am a regular visitor of your site and I am also striving to do daily morning havan.
Guruji main sirf ek cheez javana chata hoon. Aadmi ko aage badne ke liye unche aur acche sapne aur un sapnoon ko pura karne ke liye targets set karne padegain. To kya aise main aisa soochna ki maine apna target pura karna hi hai aur apne sapnoon ko pura karna hi hai taki mere mata pita ko prasanta ho aur unka nam uuncha ho, chahe kitni bhi mahnet karni pade aur kitna bhi maan maar na pade, taki wo bhatke na. Isnmain kuch galat nahi hai na. Maine yeah sawal isliye puucha kyunki mere maan kafi samye se yeah vichar baith gya tha ki sapne dekhna aur kamna karna paap hai. Isliye main lazy and upset he rehta tha but now I really want to correct it with your blessings.
Swami Ram Swarup: My heartiest blessings to you, my son. I appreciate you my son that you daily perform agnihotra which is a real worship of Almighty God. Yes, insaan ko achhey target jo vedanusaar hee hon unhein poora karne ke liye hard-working kee zaroorat hotee hai. Jaise Yajyen karna, mata-pita, guron kee sewa karna, samaj seva karna, desh sewa karna, agar vidyarthi hai to pooree lagan se padna, brahmacharya maintain karna ityadi. Yeh achhi desires hain. Jo kuchh aap keh rahein hain ismein kuch galat nahi hai, achha hee hai, kewal sapney dekhna to paap hai, yeh Yog Shastra main vikalp vritti hotee hai jo jhoot hai. Parantu Vedic shubh vichaar man mein aayein aur unhein poora karne ke liye mehnut kee jaye to weh hee achha hai. Jaise Yajurved mein kaha- “tat mein manhan shiv sankalpam astu” arthat hey! Ishwar mera mann apne aur doosron ke liye kalyankari vichaar wala hee ho. Is mann mein kalyankari vichaar hee aayein, bure vichaar na aayein. Laziness Jeevan ka abhishaap/curse hai, issey sadaa door raho, lazy person ka koi bhi nahin hota.
Neha: Guruji prnam… last time maine aapeko apene exam.ke liye ashirwad manga tha bt aap bhul gye.. mera mail pdena. Guruji mera ko ye janena hai. Wse ab tk maine sirf veg he restrorant me bnwa bt.. guruji akaafi time se non veg ke liye kaafi demand aa te.. per mujhe smjhe be aa rha h kya me non ka menu rkhu ya ne.. mujhe ye janena h.. agr me non veg ne khati .. per restrorant me bne mere to mere ko tb bhi oap lgega?/
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. Beta maine to sab questions ke answer diye hain ab aapke paas nahi pahuncha, iska mujhe dukh hai. Mera ashirwad sadaa tumahre saath hai. Beta, ved main Parmeshwar ne kaha hai jo animal ko marvaata hai, jo maarta hai, jo uska meat katta hai, jo bechtaa hai, jo khareedta hai, jo khata hai, jo pakaata hai, jo uske jhoote bartan maanjta hai, Chahe weh khud nahin khata, phir bhi usko poorna paap lagega. Isliye non-vegetarian ke matter se door rehna hee punnya hai.