Arya Vinod: Guruji kya murti, tasvir par chadhaya prasad nahi khana chahiye? Agar koi deve toh hum kaise unke samne satya ka nivedan kare?
Swami Ram Swarup: Aajkal satya ka nivedan karna bada kathin karya ho gaya hai. Rigved mein Shraddha ka arth shrat+dha kaha hai arthat satya par dharnna. Vedon mein swayambhuhu bhi kaha hai arthat satya woh hai jo kisi padarth se banaa nahi hai aur jisse aagey koi padarth bhi nahi banta. Satya ek avinashi evam anaadi tatva hai. Geeta shlok 2/16 mein bhi kaha ki jiska kabhi abhaav nahi hota arthat jo tatva anaadikaal se hai aur aage bhi rahega usey hee satya kaha hai. Isme nirakaar, avinashi, sarvavyapak, sarvashaktimaan Parmeshwar Jisne srishti kee rachna karee aur uski paalna kar raha hai woh Parmeshwar hee satya hai. Ved sunkar vedaadhyayan ke pashchat ispar kisi saadhak kee dharnna/aashtha/vishwas/Shraddha aati hai anyatha nahi aati. Atah Shraddha ka yeh arth nahi hai ki jo padarth bante hain ya nasht ho jaate hain unpar hamari aastha tik jaye, yeh arth bilkul nahi hai. Isliye aisa satya bolna aaj kathin evam duskar ho gaya hai. Parantu bhaichara aur prem rakhne ke liye hamein sabka aadar karna chahiye isliye agar murti par chadhaya prasaad shudh hai aur kisi paristhiti mein lena pade toh us prasaad ka lena paap nahi hai. Waise aap bhi jaante hain ki vedon mein murti Pooja ka vidhaan nahi hai.
Arya Vinod: Murti aadi jad padarthon ki puja karne se buddhi bhi jad ho jati hai, kaise?
Swami Ram Swarup: Aap saanp kee Pooja karoge toh sapne mein sanp aayenge. Durga aadi kee Pooja karoge toh sapne mein wahi aayengee. Ek koi naari thi jisne internet par bahut pehle question kiya tha ki woh Hanumanji kee bhakt hai toh Hanumanji ne usey sapne mein darshan diye aur usey aankh maree. Maine usko samjhaya ki Hanumanji toh Charon vedon ke gyata, indriya sanyam karne wale maha Brahmachari aur balshalee Yogi hue hain jo mahapurush vastutaha aisa kar hee nahi sakte. Han! swapan mein ya koi sthiti saakshaat prakat hoti hai toh uska karann yeh hota hai ki use purush ya naari ke swayam ke vichaar aur pichhle janamon ke achhey-burey sanskar bhi sammilit hote hain. Mann ke vishay mein bhi yahi kaha hai ki “Jaisa khaye ann waisa hoye mann.” Ab jo satvik aahaar lega uske hinsak vichar nahi honge or jo maans madira ka sevan karega uske hinsak aur bure vichaar bhi utpann honge. Yog Shastra sutra 1/37 kee vyakhya mein Vyas Muniji keh rahe hain ki jo Yogiyon ka dhyaan karega woh Yogi ban jayega. Yog Shastra sutra 4/32 mein Patanjali Rishi ne spasht kiya hai ki Ishwar ne trigunni prakriti ko yeh aadesh diya hai ki jo bhogi hai uske liye prakriti bhog padarth detee jaye jisse ki woh purush ya naari barbaad ho jaye aur jo Yogi hai prakriti uski sahayta kare jisse uska Yog siddh ho jaye.
In sab baton se yeh siddh ho jaata hai ki jad ka dhyan karne se buddhi bhi jad ho jayegi arthat avidyagrast/agyaanvash jad ho jayegi aur jub usey ved kee shiksha dee jayegi toh vo buddhi Ishwar se utpann ved ke sachche aur nirmal gyan ko sweekar nahi karegee. Yahi kahegee ki meri Shraddha toh isme hai ya usme hai ityadi. Yog Shastra sutra 3/1 mein bhi kaha hai ki dhyan dharte waqt shareer ke ang agyachakra aadi par dhyan dharein arthat us twacha ke sthan wale ang par dhyan dharein, shareer ke ang ke bahar dhyan na dharein kyunki yadi shareer ke ang ke bahar murti aadi par dhyan diya ya deewar par koi nishaan lagakar uspar dhyan diya toh chitta ki vritti bahar kee aur jad padarthon par ho jayegee aur buddhi jad padarthon ko chahne lagegee. Woh chetan Ishwar ko nahi chahegee. Kyunki Ved aur Yog Shastra sutra 1/2 Keh raha hai ki chitta ki vritti ko andar kee taraf le jao bahar kee taraf nahi kyunki shareer ke andar hee jeev aur Parmatma dono hee niwaas karte hain. Chitta kee vritti jub antarmukhi hogi tab jeevatma apne swaroop mein sthit hoga aur apne andar niwaas karne wale Parmatma ko bhi jaan jayega.
Arya Vinod: Maana ki koi vyakti sirf pranayaam hi dirgkaal tak karta rahe, aur usse yam niyamon ka koi gyan bhi nahi hai toh kya usse koi aadhyatmik athwaa swathyparak labh nahi hoga guruji.
Swami Ram Swarup: Sadhna maanne kee, imagination kee baat nahi hai, isliye prannayam karke hee uttar paya ja sakta hai. Han! Yeh nishchit hai ki yadi sadhak ved-vidya nahi jaanta to weh Ishwar ko bhi nahi jaan sakta ki vedanusar Ishwar kise kehte hain. Phir kora prannyam karne se kya labh aur yadi kewal shareer ke labh ke liye koi prannayam karega bhi to shareer to hamesha rehney walee vastu nahi hai. Mukhyataha to prannayam vedanusar Ishwar kee upasana kahee gayee hai.