Upendra: Pranam Swamiji,Swamiji apne yagya mai gyan diya tha ki guru ji shishya ke dharm pita hote hai.hey pitaji aap ki hum par kripa hai aap din raat hamari raksha karte hai isiliye hum jivit hai varna hum to mare saman hi hai.pitaji abhi aug me mai apki seva karne aya tha lekin dil laga kar nahi kiya.Ku ki mai kuch illusion mai pad gaya hu pitaji mai iss illusion se bahar nikalna chahta hu aur maine Jo paap kiya hai usse dubara na karne ki pratigya bhi ki hai.maine apko batane ka nishchay kiya tha parantu guruji aap busy the.isiliye apke Darshan nahi ho paye.guru Ji jab mai next time apki seva karne ke liye ayunga to bataunga ki kya paap hua hai.guruji aap muzhe ashirwad dene ki kripa kijiye ki mai apni pratigya mai dhrid rahu. guruji muzhse kuch kahne mai galti huyi hongi to maaf kijiye aur uss galti ko dubara na karne ke liye gyan dene ki kripa kijiye.
Swami Ram Swarup: Priya putra Tiwari, ashirwad sadaa sukhi raho. Rozana apnee sadhna mein bhi lage raho aur sara din ghar ke bhee kartavya karma karo, yahee punnya hai, aap mein Guru Bhakti hai, seva hai, Shraddha hai, ved marg par chalne kee pooree astha hai to nishchaya hee ismein aapka kalyann hai, mera ashirwad sadaa apke sath hai, beta.
Sri Vivek: Please send the book on Gayathri Mantra. I have purchase the same from your stall at HSSF 2014 in Chennai.
Swami Ram Swarup: Necessary action is being taken, please.