Chittaranjan: Swamiji pranam, mere man me ek prsna h k maryad purus sri Ram aur yogiraj sri krisn ji sare uttam gun k adhikari the atah hame unko adarsa mahapurus mante h magar kehte h k kaliyug me sirf Ram aur krishn k naam jaap karne se bahut punya milta h to ye baat kitne dur satya h. Kripya mera sandeh mochan kare swamiji.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Vedon ke anusaar, jaise kee Rigved mantra 10/181/1,2 mein bhi kaha ki anadikaal athwa is srishti ke arambh mein huee rachna ke anusaar Ishwar chaar Rishiyon ke andar ved ka gyan prakat karta hai. Vedon mein Ishawar ke anant alaukik gunn kahe hain arthat ved mantra hee bataate hain ki Ishwar kisko kehte hain jaise Rigved mantra 6/50/14 mein Ishwar ko “Ajah Ekpaat” kaha jiska matlab hai ki Ishwar janam-mrityu mein nahin aata. Jaisa ved mein kaha- Akaya arthat uskee kaya nahin hotee, weh niraakar hai. Yeh gunn sirf nirakaar, srishti rachaiyta, paalan karta aur sanhar karta Ishwar mein hee ghatte hain aur kisi mein nahin, parantu Sri Ram evam Sri Krishna janam lekar prithvi par aaye hain. Ek chhotee see baat hai ki Sri Ram ke janam se pehle Raja Dashrath ke Pita Aj aur anya bhi Ram-Ram kaa jaap nahin karte thei. Issee tarah Sri Krishna maharaj ke janam se pehle koi Krishna naam nahin japta tha aur na hee unka varnnan vedon mein hai. Doosra, Ishwar nein apne anant naam vedon mein kahein hain jismein ‘Om’ naam sarvashreshth hai.
Ashtabhuja: स्वामी जी, चरण स्पर्श! कृपया वैदिक प्रबचन संग्रह भाग – २ की एक प्रति भेजने की कृपा करें | धन्यवाद
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Book has been sent to you, please.
Rani: Please send me Gayatri Mantra – English
Swami Ram Swarup: Book has being sent to you, please.