H: Guru ji jahan mene engage ki hia mujhe un k dady se pahle bataya gaya tha k wo mujhse 2.5 sal badi hia lekin ab mujhe pata chala hia k wo mujhse 3.5 sal badi hia to aap kia samajhte hian mujhe kia karna chahiye, engage todni chahiye ya continue krni chahiye,mein 2.5 sal pe kuch wujoohat pe razi hua tha par ab jab mujhe ye pata chala hia k wo 3.5 sal badi hia to mujhse ye jhuth bardasht nahin ho raha, kirpya aap meri sahayat kren aur sahi salah den, aur ye b bataen k agar mein us ladki se shadi karoon to mujhe kia nuksanat honge.
Swami Ram Swarup: Such to yeh hai ki ved apne se badee kanya se shadi karne kee permission nahin detey. Ab yeh aap par nirbhar hai, aap hee ke parents aadi par nirbhar hai kee kya decision lein.
Aarya Basant: Pujya Swami ji thank you so much for answering my previous questions. I really love to visit your site and answers. My very important new question-
Manushya Man Vachan karm se jaisa karm karta hai vaisa phal pata hai. iske peeche kya Vigyan hai? Maan lijiye maine kisiko jhooth bola to isse mera kya nuksan hoga? Mera mental aur physical state to saamanya raha. aapne kaha ki vyakti apni chitta vritti ke anusar agla janm pata hai. iska matlab yadi ham paap karne ke bad apni vritti thik kar len to hame achcha janm milega hi? Please karma system ka scientifically proof dijiye.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. You are welcome, please.
Han! Yajurved mantra 7/48 spasht keh raha hai ki manushya mann, vachan, karma se jaisa shubh-ashubh karma karta hai waisa hee achchha bura phal Ishwar usey deta hai. Vigyan ka arth hota hai, vishesh gyan athwa science . To karma phal ke upar vishesh gyan yeh hai ki Parmatma ne yeh srishti banayee hai aur Rigved mantra 10/181/1, 2 aur Yajurved mantra 31/7 ke anusar bhi pratyek srishti jo prarambh mein amaithuni srishti kehlati hai, us amaithuni srishti ke arambh mein Ishwar char Rishiyon ke hriday mein char vedon ka gyan utpann karta hai. Jaisa har ek desh ka samvidhan hota hai, laws hotey hain usee prakar is srishti ko banane wala Parmeshwar is srishti ka Raja hai aur usney is srishti ke kanoon char vedon kee constitution ke roop mein manushya jaati ko samjha diye hain. Is samvidhan ka jo bhi ullanghan karta hai , Ishwar usko sazaa deta hai , yeh bhi vedon mein pehle hee keh diya gaya hai. aaj hamara yeh durbhagya hai ki hum pichhley yugon kee bhanti jismein anek Raja jaisey Sri Ram, Sri Krishna Maharaj, Harishchandra unkee praja aadi asankhya janta hue hai jinhonein kewal ved marg par chalkar sukh prapt kiya (waise bhi us samay aaj ke mazhab aur ved-virudh sant, guru aadi nahin they, us samay vedon ke gyata rishi-muni they) unke vipreet hum ved vidya ko tyag kar arthat Ishwar ke is constitution ko na apnakar tarah-tarah kee bhranti mein hain, satya marg se bhatak rahey hain aur dukhi hain.
Ab aapke prashan ka agla uttar yeh hai ki Rigved mantra 10/135/1,2,3 mein yeh updesh hai ki Ishwar hamein pichhley janamon ke karmon ke adhar par manushya ka shareer deta hai kyunki weh chahta hai ki hum is manushya shareer ko paakar apney pichhley karmon ke kiye paapon ka phal dukh ke roop mein bhogein. Ab jahaan prashna paap aur punnya ko nishchit karne ka hai, uske liye bhi hamein vedon ko hee sunna padega. Nahin suneigey to bhranti mein rehkar dukh uttayeingey. Ab jaise vedon mein kaha-
Satyam Bruyat, Priyam bruyat arthat sadaa satya bolo aur aisa satya bolo ki doosron ko priya bhi lagey. Ab yeh ek Ishwar ka banaya niyam hai isko na maan kar jo koi bhi jhooth bolega, weh paap karega aur paap kee sazaa dukh ke roop mein Ishwar usey dega itiyadi.
Aur raha paap karne ke baad apney ko theek karna to iska vedic niyam yeh hai ki Samved ne kaha- ‘Vritrahantamah’ Arthat Ishwar hee paapon ko nasht karta hai aur paapon ko nasht karne ke liye Ishwar vedon mein kehta hai ki manushya ko ved marg par chalna padega arthat vidwanon se ved sunkar grihasth ashram mein rehkar hee nitya ved mantron se Yajyen karna, Ishwar naam jaap karna, Yogabhyaas karna zaroori hai.
Jo yeh nahin karta, yeh uskee apnee marzi hai aur iska niyam hai, jo ved virudh karma karta hai, weh paap ka bhagi hai. Hum phir dhyan rakhein, hamari marzi nahin chalegi . Yeh duniya Ishwar kee banayee hai, yahaan Ishwar kee hee marzi chalegee aur Ishwar kee marzi Ishwar ne vedon mein keh dee hai. Hamein uspar chalna matra hai, tabhi hum sukhi hongey.