Rishabh: Namastey Swamiji… Aapko pata hoga ki Swami Dayanand pure din kam karke sirf 20 minutes e liye sote the ya yu kahe ki ve apni puri neend 20 minute me complete kar lete the yog nidra dwara shayad to me yah jan na chahta hu ki kya aap mujhe bata sakte h ki konsa yog h jis se me apni neend par control kar saku or karya adhik se adhik kar saku or kam sona pade? dhanyavad 🙂
Swami Ram Swarup: Namasteji. Kai kisam kee Yog vidya nahin hai. kewal ek hee Ashtang Yog vidya ka varnnan charon vedon mein hai. Isliye Ashtang Yog vidya hee pramannik vidya hai. Swami Dayanand ji yadi 20 minutes sokar apnee nidra pooree kar lete they to iska matlab yeh hai ki unhonein Ashtang Yog vidya kee kathor sadhna dwara Yog Shastra Sutra 1/10 mein kahi chitta kee “Nidra” vritti par sanyam (control) kar liya tha. Yeh maalum hona chahiye ki nidra chitta kee ek vritti hai aur jeevatma kabhi sotee nahin hai.
Rohan: Why there are 108 beads on a mala? Is there any connection of 108 beads with Nakshatara and Veda.
Swami Ram Swarup: Idea of 108 beads mala is this that a devotee when starts name jaap of God or prannayam then he takes mala in hand to count the number of name jaap or prannayam.
Anonymous: Hello Sir , I am 21 years old and want to increase my height. Is it possible? If so then please specify few methods and pranayam? Thanks in advance.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. At this stage, you can try to increase your height. You can do Taadasan, Pashchimauttan asan daily both times and thus you should go for running in the morning. You are welcome, please.
Piyank: Guru Ji ke charno ma naman guru ji mera questiones hai ki muj papi per hanuman ji maharaj ki kerpa the unki kerpa se mujy unka ehsas unse akarshan or unki awaj unki kerp ae manay suni or unki kerpa se mujey anayas he bahut spritual powers bhe mujey miley us samay parbhu ne meray sarey sanket katey sari paresahneya teekh kari phir pata nahi muj se asey kya bhul huye ki parbhu ki kerpa jethney pehlay muj per the ab wo kerpa muj per nahi pehaly wo meray pas aker muj se tilk lagwa ker bhe jatey they sada unka tej unki awaj samay samay mujey sunaye datey kuch kehne ho to wo muj se bol detay us samay ma bhut kush rehta magar uskey bath pata nahi muj se kya galtey huye ko muj se rut gaye unki jo kerpa pehaly muj per the ab wo kerpa unki muj per nahi pta nahi muj se kya bhul huye hai jo meary parbhu muj se rut gaye pehaly wo muj se khaney ko bhe mangety magar kuch 4 salo se wo muj se bath nahi kertay nahi na he kuch boltey unka tej jo 24 hours ma apney body ma mahusus kerta ab wo bhe bhut jyada kam mahsus kerta hu mujey nahi pata muj se kya bhul ho gaye kerpa ker meray parbhu Hauman ji ki muj per pehaly jasey kerpa ho jaye ma asa kya keru kha jayu takhi wo jo kerpa muj per barastey thi wo phir se barsey ananth kal ke leya kya karu ma us kerpa ko paney ki leya ma bhut dukhi ho or jab se kerpa rukhi hai tab se meray uper dukho ka pahad he tut gya meary uper bhut jyda sanket ma hu kerpa ker meray parbhu ki muj per phir se woe kerpa ho jaye unki kerpa pany ka rashta bataye.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my son. Already replied.
Aap jo kuchh Hanumanji ke bare mein likh rahein hain, to kya woh aap jagrit avastha mein apnee ankhon se dekhtey thei ya sapney mein deikhtey thei. Yeh likh kar bheijein. Iske baad main vedic vichar likhoonga.