Brinda: Namaste. yajyan karne se kyaa laabh? Hum shraavani parv kyoun manaate hai? If I could get the answer in Hindi at latest on Thursday? Thank you.
Swami Ram Swarup: Namaste, my daughter.
Yajyen karne se anant labh hain. Thode se mein yahaan yahi kaha ja sakta hai ki dhan, khushiyan, lambi aayu, beemariyon se chootna, samay par varsha, prithivi par anna, dhoodh, ghee ka badna, gareebi ka nash aadi anek labh hain.
Aapko advise kareingey ki aap Vedic Pravachan sangrah part I padein jismein aap “Yajyen kee mahima” pad sakte hain.
Shraavan Maas mein hamein ved-shastra ka adhayayan karna chahiye,yahi ved kehta hai. Ab isey chahe parv keh do ya kuchh bhi keh do, yeh hamarey khud ke banaye gaye hain.
Welcome, please.
Rishu: Kyu log apne jemadriyo ko bhul jata hai?
Swami Ram Swarup: Zeemmedariyon ko log isliye bhool jaate hain kyunki vedon ka gyan na honey se unhein apnee zimmedari nibhane ka bhi gyan nahin hota. Isliye kartavya palan karne ke liye hamein vedon ka gyan hona zaroori hai, tabhi hamein gyan hoga ki hamare kaun-kaunse kartavya hain, shubh aur paap karma kya hain. Kartavya nahin nibhayeingey to hamein paap lagega.
Isliye hamein ved ka gyan sunkar uspar chalna chahiye phalswarup hee jeevan mein khushi ayegee aur dukhon ka nash hoga.