Truth Seeker: Namaste swami ji, this time I am asking you very important question of life. PLEASE USE ALL YOUR EXPERIENCE IN IT. Satyarth Prakash ke 3rd samullas me likha hai ki- “Sammaanaad braahmano nityamudavijet vishaadiv. Amritasyaiv chakaankshedavamaanasya sarvada =VAHI BRAAHMAN SAMAGRA VED AUR PARMESHWAR KO JANTA HAI JO PRATISHTHA SE VISH KE TULYA SADA DARTA HAI AUR APMAAN KI ICHCHA AMRIT KE SAMAAN KIYA KARTA HAI” question. Is sansaar me har vyakti samman chahta hai. yadi koi hamara apmaan karta hai to ham demoralized hote hain jo ki mental balance ke liye achcha nahi hai. to yah amrit kaise ho sakta hai ? chanakya ne likha hai ki apman mrityu ke saman hai. har kisi ko samman chahiye fame chahiye fame hogi to fan following hogi . fan following hogi to hamare updesh se jyada se jyada punya milega. har dharmik vyakti punya kamana chahta hai.
Swami Ram Swarup: Namasteji. Aapne theek hee kaha hai. Asal mein Swami Dayanand saraswatiji nein apnee kathor sadhna ke pashchat sukh dukh , labh-haani,ninda-stuti aadi sansari baton se alag rehne wali ek samaan see vritti prapt kar lee thee aur usee vritti ke anubhav se unhonein satya satya keh diya. Sri Krishna Maharaj nein bhi Bhagwad Geeta ke 12th adhyaye mein kaha hai ki Hey Arjun! Jo sukh dukh, maan apmaan, ninda stuti mein bhee ek saman rahta hai, arthat uske chitta par inka kuchh asar nahin hota, weh ek samaan shanti mein rehta hai, phalswaroop na to weh ninda, apmaan, dukh aadi mein demoralize hota hai aur na hee mentally disturb hota hai. Kyunki us sadhak ko Yog shastra sutra 1/15 kee see sthiti prapt ho jaatee hai jismein kaha hai ki us sadhak ko achchha bura, dekhey-suney ka uske chitta par asar nahin hota, isey hee vairagya kaha hai. Aur par-vairagya to is sey bhi uttam hai jiska varnnan Yog Shasra sutra 1/16 mein kiya hai ki Ishwar kee banayee srishti mein Prakriti se baney sabhi padarthon se (arthat khana-peena, sona-chandi, building, dhan, parivaar, khud ka shareer, ghee, milk aadi) vritti hat jaati hai to usey pa-vairagya kehte hain aur isee stage mein sadhak ko Ishwar kee prapti hotee hai, aap yadi ichchha ho to meri pustak Patanjal Yog Darshan Part I and II worth Rs. 131/- and Rs. 300/- excluding postal charges padein. The book can be sent to you on receipt of your postal address, if you desire.
Ab main aapkee baat bataata hoon ki prayaha purey sansaar mein vedadhyayan aur yogabhyaas aadi vidyayein achrann mein nahin hain isliye manushya kee vritti upar kahe Yog shastra sutra 1/15and 1/16 ke anusaar nahin hai balki sansari vritti hai jismein kaam, krodh, mad, lobh, ahankar mann mein prabal roop se tarah tarah kee buraiyan jaise abhimaan, laalach, chori, seena zori, corruption, lootmaar, dhokadhadi, jhoot, andhvishwaas, paap yukt karma, naari apmaan aadi hazaron kisam kee buraiyan paida karte rehte hain aur jeev sadhna kee kami se unka gulam banaa rehta hai. Aur Yog shastra ke upar kahe sutra ke anusaar weh vairagyavaan bilkul nahin hota isliye us person ko zara sa bhi koi gali de, krodh kare, insult karey itiyadi kee stage mein weh demoralize aur mentally disturb ho jaata hai aur phalswaroop dukhi rehta hai. Kai-kai jagah to jab insaan ke dil mein koi baat lag jaatee hai aur weh usey bardasht nahin kar paata to prithvi ka sabse badaa paap jo atmahatya hai, weh kar baithta hai, isliye hum sab ko vedic sadhna karnee chahiye isee se hamein shanti milegee.yeh nishchit hai ki jab jeev sadhna se maan-apmaan mein samaan ho jaata hai to weh apne aap mein vidwaan kehlata hai aur uskee yash kirti apne aap phailtee jaatee hai.
Swami Dayanandji nein pratishtha ko vish isliye kaha hai kyunki pratishtha mein hee phans kar jeev apne aap ko aur Parmatma ko bhula hua hai ki weh jeevamta hai aur jeevatma ke andar hee Parmatma nivas karta hai. Aisa person pratishtha ko banaye rakhne ke liye bahut kuchh jhoot sach karya karta rehta hai. Jab ki pratishtha se dhyan hataa kar rakhta hua sadhak grihasth ke shubh karyon aur sadhna mein lagaa rehta hai. Aur jab weh apnee ninda sunta hai to weh sadhak yeh vichar karta hai ki kya ninda karne wale nein mujh mein jo burai batai hai, weh saty hai? Agar satya hai to weh us burai ko door karne mein lag jaata hai. Aur agar ninda karne wale nein jhoot kaha hai to weh sadhak shant aur anand mein rehta hua apne shubh karmon mein lagaa rehta hai. Isliye ninda kewal sadhak ke liye amrit ke samaan hai. Hamein manushya ka janam sadhak banne ke liye mila hai atah hum vedic sadhna karein. Kabir nein bhi bahut achchha kaha hai:-
“Nindak nede rakhiye angan
Kuti bichhaye,
Bin pani sabun bina nirmal karey subhaye.”
Arthat ki koi hamaree ninda karey to hum us ninda ko sun- sun un buraiyon ko door karte jaayein to hamara mann/swabhav khud hee nirmal ban jaayega.
Virendra: Pranam swamiji, que) kisiki death hone pe rone se kya uski aatma ko takleaf hoti h?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Kisi kee death hone par rone se jaane wali atma ko takleef nahin hotee balki Atharvaveda mein kaha ki jo rota hai uskee umar ghat jaati hai.
Divya: Namaste, Does Mantra chanting for marriage really works??. Which is the most powerful among all to get a spouse of choice?
Swami Ram Swarup: Namaste, my daughter. Yes, Ved mantras give fruitful result if daily hawan/Yajyen with ved mantras is performed since childhood. Every ved mantra is powerful, so everybody must perform daily hawan/Yajyen with ved mantras under the guidance of a learned acharya.