Deepak: Swamiji charan sparsh mene aapkeekitaab shreemad bhagwadgeeta ek vaidik rahasya me pada ki kisi icha ke liyeyagya ya havan nahee karna chahiye, lekin jese koi apne ghar me ya shop me kisikaran se havan karvata hai to kya vo sahee nahee hota , kai baar koi naya gharleta hai to shuruaat havan se karvana chahta hai to uske peeche kuch ichaa yaudheshya rahta hai to kya vo sahee hai thank you swamiji for always bless me
Swami Ram Swarup: My blessings to you.
Ichcha ka arth baseless sansari ichcha se hailekin shubh kamanaon kee prapti ke liye to yajyen hee kiya jaata hai aur businessbadanaa ya education ityadi mein tarakki prapt karne ke liye yajyen/Hawan aadiawashya karna chahiye.
SKS: Vivah ke baad se sab kuch ulta hogay lagta hai bhagya rusht ho gaya kuch bhi samajh nahi aata. margdarshan karen aapka aabhar.dhanyavad
Swami Ram Swarup: ViVah ke baad jo kuch bhi ho raha hai uske liye aap kabhi bhi vivah ko dosh nadeina. Kyunki jaise Rigveda mantra 10/135/1,2,3 mein kaha ki hum sub Yahaanapne pichle kai janmon ke shubh ashubh karma sukh-dukh ke roop mein bhogneaayein hain ab yadi kisi ko vivah ke baad koi dukh aa gaya hai to weh vivah sesambandhit nahin hai, apitu pichle janam ka koi karma usee time bhogna tha aurusee time aaya hai. Isliye karmon ke bure prabhav ko khatam karne ke liyeIshwar se daily Prarthna karein. Weh prarthna rozana OM ke jaap aur gayatrimantra ke hawan se ho. Isee mein kalyann hai. Ghar mein kabhi bhi ladai nakarein. Sab prem se rahein.