A: Pujya GURUMAHARAJji, Aapko hum sab ka koti koti pranaam! GURUJI mei abhi Yogshastra ka Part-1 pad rahi hoon. Usmei mere kahi prashn hai jo mere iss buddhi ke samajh ke bahar hai.Aap iss na samajh par kripa karke, mere inn prashno ka uttar dijiye.
GURUJI, 14th sutra mei drusht vishai aur anushravik vishai ke baarei mei kaha gaya hai. Drusht vishai woh hai jo indriyo ke dwaara sansaarik padhardho ke dekha suna aur chintan kiye huye vishai hai. Anushravik vishai ka bodh vidvaano se hota hai aur who paarlokik sukh, sundar janam, moksh and yog siddhiya hai. Uske aage likha hai ke Vidvaan purush ke sansaarik bhog aur sansaarik purusho ke sansaarik bhog dono anushravikh vishayo mei aate hai.Mera ye prashn hai GURUJI, ke kaise vidvaano ke aur sansaarik purusho ke saansaarik bhog kaise anushravik vishai mei aasakte hai? I am really confused on this statement…….. Aap daya karke mujhe vistaar se samjhaaiye GURUDEV. Ek aur prashn hai GURUJI. 17th sutra mei, Sampragyath samadhi ke baarie mei kaha gaya hai. Aur woh 4 tarah ke hai. GURUJI, Graahya, Grahan aur Grahita ke vishayo ka chith par vichaar hone ka matlab mujhe samajh nahi aaya. Aap kripa karke mujhe samjhaaiye. And GURUJI, What is Graahyasuksham and sthoolbhooth? Also in Vitark
sampragyat samadhi mei, tark sahit sthool bhooth ka vichaar aana, iska kya bhav hai GURUJI? and similarly Vicharanugath Sampragyat Samadhi mei suksham bhooth ka vichaar hona. iska bhi kya bhaav hai GURUJI? I mean, Sthool bhooth aur sukhsham bhooth kya hote hai?
Mujhe shramaa karden agar mere se likhne mei koi galti huyi hai toh.
Aap daya aur kripa karke iss nasamajh ke agyaan ko dhoor karen.
Aapko mera dandwath pranaam! Aapki sishya, A
Swami Ram Swarup: My blessings to you all, my daughter. Sansarik purush prayah vidwanon se kai prakar ke laukik sukh jaise dhan, parivar, santaan, property ityadi ke bare mein suntan hai aur kamna karta hai athwa pichchle janam ke punya se sansarik sukhon ka bhog bhogta hai aur use mein indulged rehta hai, jo kee uske downfall ka karann banta hai. Dharammegh samdhi prapt karne se pehle kai vidwaan bhautik sukhon ko prapt karke aagey progress nahin kar paate aur sutra 1/16 mein kahaa vairagya prapt nahin kar paate jo ki mukti ke liye avashyak hai aur woh iss prakar un sansarik bhogon mein hee lipt ho jaate hain.
As regards, explanation of sutra 1/17, it can only be explained in person, subject being typical. So, when you will come here then please ask this question again.
Anonymous: Vashikaran mantra.. Manglik..
Swami Ram Swarup: Namasteji. Neither any vashikaran mantra nor manglik dosh etc., are mentioned in Vedas, shastras, upnishads and other ancient as well as present holy granths written by learned of Vedas and Ashtang Yoga. So, learned of Vedas never accept the same, being unauthentic. So, you may go ahead, please, accordingly or you may do as you like.